Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 480

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 173.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Usne yahi tum par haraam kiye hai murdaar.
2⃣ Aur Khoon.
3⃣ Aur Su’ar ka gosht.

▶ Tafseer
1⃣ Jo halaal jaanwar baghair zabah kiye mar jaaye ya usko tareeka e shara’a ke khilaafa maara gaya ho maslan gala ghot kar yaa laathi patthar dhele gulle goti se maar kar halaaq kiya gaya ho ya wo gir kar mar gaya ho ya kisi jaanwar ne sing se maara ho ya kisi darinde ne halaaq kiya ho usko murdaar kehte hai aur usi ke hukm mein daakhil hai zinda jaanwar ka wo uzwa jo kaat liya gaya ho.
▶ Masla – Murdaar Jaanwar ka khana haraam hai magar uska pakaa huwa chamda kaam mein laana aur uske baal sing haddi patte soom se fayeda uthana jayaz hai. (#Tafseer Ahmedi)
2⃣ Masla- Khoon har jaanwar ka haraam hai aur agar behne wala ho doosri Aayat mein farmaya Awa Dama Masfuhan.
3⃣ Masla – Khinzeer (Su’ar) najisul Aain hai uska Gosht posht baal Nakhun waghairah tamaam Aajza najees wa haraam hai kisi ko kaam mein laana jayaz nahi chuñki upar se khane ka bayan ho raha hai isliye yahañ gosht ke zikar par iqtefa faramaya gaya.

〰〰 to be  contd..

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Azaan Ke Masael # 480

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Kya Azaan se pehle Darood Shareef parh sakte hai.?

▶ Aitraaz.
Nabi e Kareem ﷺ ki zahiri hayaat mein aur Khulfa e Raashideen ke daur mein jabh Azaan se pehle Darood Shareef nahi parha jaata tha. Isliye abh aisa karna buri biddat aur gunah hai.

⏩ Aitraaz ka jawaab.

▶ Agar issi nazriye ko maan liya jaye ke jo kaam uss daur mein nahi hota tha woh abh iss daur mein buri biddat aur gunah hai. Toh is daur ka pura nizam hi bigad jaaega.

Aise kaam jo uss daur mein nahi the aur abh iss daur mein sabhi logon ne apnaye huwe hai.

⏩Misaal

▶ Quran e Pak par nuqte aur zer zabar pesh hajjaaj bin yusuf ne 95 Hijri mein lagwaye.
▶ Quran e Pak ki printing ki system.
▶ Masjidoñ ke beech mein Imaam ke khade rehne ke liye mehraab na thi. Baad mein yeh amal mein aaya.
▶ 6 Kalme jo aaj madarse mein padaye jaate hai, Nahi they.
▶ Aeroplane se Hajj/Umrah wa deegar mulkon ka safar karna.

Ye saare kaam uss mubarak daur mein nahi the lekin abh iss daur mein koi gunah nahi kehta. To sirf Azaan se pehle Darood Shareef parhna hi bid'at hai.?

To Be Contd...

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #480

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Maula e kainaat Hazrat e Ali رضي الله عنه se rivayat hai ki Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne dahine (right) haath mein resham liya aur baaye (left) haath mein sona phir yeh farmaya ki yeh dono cheezein meri ummat ke mardon par haraam hai.

#Abu Dawood shareef.
#Nisaai Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

SONA KITNA HI CHAMAKTA HO
HUZOOR ﷺ KI BAAT YAAD RAKHO
HARAAM KA RASTA MAT CHUNO
BURE AMAL SE BACH KE RAHO

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 479

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 172.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye Imaan waaloñ khaao hamari di huwi suthri cheezein aur Allah ka ehsaan maano agar tum usi ko poojte ho.
▶ Tafseer
▶ Masla – Is Aayat se maloom huwa ki Allah Ta’ala ki ne’mato par Shukr Waajib hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Azaan Ke Masael # 479

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Namaz ki Azaan ke alawa doosri Azaano ke bhi jawab dein jaise bachche ke kaan mein paida hote waqt ki Azaan.
▶ Raste par chal rahe the ke Azaan ki awaaz aayi to behtar yeh hai ke ruk jaaye aur azaan ka jawab deiñ.
▶ Azaan ke waqt Salam kalam, Salaam ka jawab, Quraan e paak ki tilawat bhi rok dein aur Azaan ka jawab deiñ.
▶ Agar ek saath bohat saari Masjidoñ se Azaan ki aawaz aa rahi ho to sirf pehli Azaan ka jawab dena kaafi hai aur behtar yeh hai ke sabh ka jawab deiñ.
▶ Muqtadiyo ko Khutbe ki Azaan ka jawab nahi dena chahiye.

#Ahkaam e Namaz.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #479

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se rivayat hai kehte hai ki Maiñe Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ko yeh farmate suna ki joota (shoes) bakasrat istemal karo ki aadmi jabh tak joota pehne huwe hai woh sawaar hai yaani kam thakta hai.

#Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


JOOTE PEHNA KARO SABHI THAKAN SE BACHTE RAHO SABHI
KYA FARMATE HAI HAMARE NABIﷺ GAUR SE SUN LO SABHI

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 478

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 171.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur kaafiro ki kahawat uski si hai jo pukare aise ko ki khaali cheekh pukaar ke siwa kuch na sune.
2⃣ Bahre ,Gunge , Andhe to unhein samajh nahi.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani jis tarah chaupaye charane waale sirf aawaz hi sunte hai kalaam ke maana nahi samajhte yahi haal un kuffar ka hai ki Rasool e Kareem ﷺ ki Sadaa e Mubarak ko sunte hai lekin uske maana dil nasheen karke irshad e faiz e buniyaad se faida nahi uthate.
2⃣ Yeh isliye ki woh Haq baat sun kar muntafa’a na huwe Kalaam e Haq unki zabaan par jaari na huwa nasihatoñ se unhone faida na uthaya.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Azaan Ke Masael # 478

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Azaan ka jawab kaise deiñ?

▶ Mu'azzin jo bhi kalemat kahe usse dohraate jaaeiñ.
▶ Jabh Mu'azzin Ashhadu Anna Muhammadur RasoolAllah pehli baar kahe tab parhe SalAllahu Alaika Yaa RasoolAllah aur jabh doosri baar kahe tab parhe Qurratu Ayni bika Ya RasoolAllah ﷺ
▶ Jabh Hay’ya alas Salaah,/ Hay’ya alal Falaah, kahe tabh dohra kar "La Hawla Wa La Quw’wata il’la Bil’laahi" kahe.
▶ Azaan fajr mein jabh Mu'azzin 'As Salaatu Khairum Minan Naum' kahe tab "Sadaqta Wa Bararta wa Bil Haq’qi Nataqta" parhe.

#Ahkaam e Namaz.


⏩ Kya Azaan se pehle Darood Shareef parh sakte hai.?

▶Yakeenan har woh nayi cheez jo na sunnat ke khilaaf ho na hi sunnat ko mitaane wali ho aur shari'at ne us cheez ya kaam se roka na ho biddat e hasanah hai aur mubaah hai yaani acchi biddat aur jaiz hai.

▶ Hadees e Pak hai RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jisne bhi musalmaano mein koi accha tarika shuru kiya aur baad mein uss tarike par amal kiya gaya to uss tarike par amal karne waaloñ ka ajar bhi shuru karne wale ko milega aur amal karne waaloñ ke ajar mein kami na hogi.

▶ Ho sakta hai kisi ke zehan mein yeh sawal aaye ke Hadees Shareef mein hai ke ke har biddat gumrahi hai aur gumrahi jahannam mein le jaanewali hai. #Mishkat Shareef.

▶ To isse murad biddat e sahiyah hai yani buri biddat hai. Aur woh biddat jo sunnat ko mitane wali ho ya sunnat k khilaf ho woh yakeenan buri biddat hai.

▶ Shaikh Abdul Haq Muhaddis dehlwi رضي الله عنه farmate hai jo biddat usool aur Qawaaede sunnat ke muwafiq aur uske mutabik qiyaas ki huwi hai (yani sunnat o shari'at se nahi takraati) usko biddat e hasnah kehte hai aur jo iske khilaf ho woh biddat gumrahi kehlati hai.
#Ashiatul Lamaat.

▶ Abh jo log isse biddat kehte hai wo bataye ke Azaan se pehle Darood Shareef parhne se kaunsi sunnat takrati hai ya sunnat ko mitati hai lihaza Azaan se pehle Darood Shareef parh sakte hai.



fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #478

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abu huraira رضي الله عنه se rivayat hai ki  Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne uss mard par lanat ki jo aurton ka libaas pahenta hai aur uss aurat par lanat ki jo mardana libaas pahenti hai.

#Abu Dawood Shareef.


Hazrat e Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se rivayat hai ki Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ kisi ko yeh halal nahi ki do (2) shaks ke darmiyan judaai karde yaani dono ke darmiyaañ baith jaaye magar unki ijazat se .

#Tirmizi Shareef.
#Abu Dawood Shareef.


fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


APNE AAP KO LAANAT SE BACHAAO
HUZOOR ﷺ KE FARMAAN PAR GAUR FARMAAO

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #477

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 170.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jabh unse kaha jaaye Allah ke utaare par chalo.
2⃣ To kahe Balki hum to us par chalenge jis par Apne baap daada ko paaya kya agarche unke Baap Daada na kuch aql rakhte ho na hidayat.

▶ Tafseer
1⃣ Tauheed wa Quraan par Imaan lao aur Paak cheezoñ ko halaal jaano jinhe Allah ne Halaal kiya.
2⃣ Jabh Baap Daada deen ke umoor ko na samajhte ho aur raahe raast par na ho to unki pairweeh karna himaqat wa gumrahi hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Azaan Ke Masael # 477

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Namaaz ke alawa Azaan kabh di ja sakti hai?

▶ Bacche ki paidaish par uske kaan mein.
▶ Gamgeen ke samne.
▶ Mergi wale ke kaan mein (ye ek bimari hai jis mein achanak insaan behosh ho kar gir jaata hai)
▶ Gusse waale shakhs ke kaan mein.
▶ Badmijaaz jaanwar ke kaan mein.
▶ Aag lagne ke waqt.
▶ Maiyyat ki tadfeen ke baad.
▶ Jinn ki sarkashi ke waqt.
▶ Jungle mein raasta bhool jaaye aur koi batanewala na ho tabh.
▶ Waba yaani koi aam jaan lewa bimari phaili ho tabh.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #477

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Jabir Ibne Sumrah رضي الله عنه se rivayat hai ki kehte hai Maiñe chandni raat mein Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ko dekha,

Huzoor ﷺ surkh hulla ( jubba mubarak) pehne huwe the yaani usme surkh dhaariya thi. Maiñ kabhi Huzoor ﷺ ko dekhta aur kabhi chand ko, Huzoor Sarwar e Kaunaain ﷺ Mere nazdeek chand se zyada haseen the.

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

YEH JO MEHR O MAH PE HAI ITLAAQ AATA NOOR KA
BHEEK TERE NAAM KI HAI ISTE'AARA NOOR KA

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 476

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 168 & 169.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye logoñ khao jo kuch zameen mein halaal paakeeza hai aur shaitan ke qadam par qadam na rakho beshak wo tumhara khula dushman hai, wo to tumhe yahi hukm dega badi aur behayaee ka aur yeh ki Allah par woh baat jodo jiski tumhe khabar nahi.

▶ Tafseer
▶ Yeh Aayat un Ash’khaas ke haq mein naazil huwi jinhone Bizaar waghairah ko haraam kar diya tha isse maloom huwa ki Allah Ta’ala ki halal farmayi huwi cheezoñ ko haraam karar dena uski Razzaqiyat se bagawat hai Muslim Shareef ki Hadees mein hai Allah Ta’ala farmata hai jo maal Maiñ apne bando ko ataa farmata hu woh unke liye halaal hai aur isi mein hai ki Maiñ apne bando ko baatil se be Ta’alluq paida kiya aur unke paas sahayateen aaye aur unhone deen se behkaaya aur jo Maiñe unke liye halaal kiya tha usko haraam thahraya ek aur Hadees mein hai Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya Maiñe yeh Aayat Sayyade Aalam ﷺ ke saamne tilawaat ki to Hazrate Sa’ad Bin Abi Waqqas رضي الله عنه ne khade ho kar Arz ki Yaa Rasoolullah ! ﷺ dua farmaiye ki Allah Ta’ala mujhe Mustajabud’daawaat karde to Huzoor ﷺ ne farmaya aye Sa’ad apni khuraaq pak karo Mustajabud’daawaat ho jaoge us Zaat e Pak ki kasam jiske Daste Qudrat mein Muhammad ( ﷺ) ki jaan hai aadmi apne peit mein haraam luqma daalta hai to 40 roz tak qubooliyat se mehroomi rehti hai. (#Tafseer Ibne Kaseer)

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Mujadid e Aazam Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat #476

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Karamate Aala Hazrat waqt ka Simat jaana.

Sayyadi Imaam Ahmed Raza رضي الله عنه Apna ek waaqiya is tarah bayan farmate hai ki Fakeere Quadri ke saath do martaba aisa Mu’amla pesh aaya ki Aakhir waqt fajr mein bedaar huwa jabh ki kinar e aaftab chamakne mein sirf chan'd minute baaki the aur gusl ki zarurat thi, zaruriyat se faarig ho kar gusl khana mein gaya ghadi baahar rakh di thi Andar jaa kar aisa mehsoos huwa ki waqt abhi zyada hai isliye saare garm kapde utar kar riaayate aadabo sunan ke saath ba-itminaan gusl kiya phir sar se acchi tarah paani jazb karke tamam kapde pehne bahar aa kar ghadi dekhi to usme utna hi waqt hai jitna pehle tha khayal huwa ki rakh dene se ghadi band ho gayi ho aur utha lene se abhi chalne lagi aur namaz ka waqt nikal gaya.

Isliye ki itne saare kaamo mein yakeenan dus (10) minute se zyada waqt sarf huwa hai is Fakeer ko Ilme Nujoom aur taukiyat ki bhi kaamil Ma’arifat hai nigah utha kar dekh to ufaq yeh bata raha hai ki abhi waqt hai aur itna ki farz hi nahi sunnato ki bhi gunzaish hai lihaaza sunnate adaa ki, Farz ba-jama'at padha aur makaan wapas ho kar ghar ki umda wa sahi badi ghadi se apni ghadi milayi to dono bilkul mutabik thi isse samjha choti ghadi band nahi huwi thi agar aisa hota to dono mein zaroor fark hota yakeen kiya ki Maula Subhanahu Ta’ala ne is fakeer ke liye ek second se kam waqt ko itna wasee farmaya ki saare kaamo ki gunzaish nikal aayi.. Walhamdulillahi Rabbi Aalameen
Khayal rahe ki ye waaqiya ek baar nahi balki do baar pesh aaya aur isme shubah nahi ki ek second se kam waqt ka itna waseeto wasee hona khaarike aadat aur karamat zaroor hai kyuki Allah Ta’ala Apne mehboob bando ke liye waqt ko samet deta hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Azaan Ke Masael # 476

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jo bhi Azaan ke waqt baatoñ mein laga rahe uska khatma bura hone ka qaawi andesha hai.
#Bahar e Shari'at.

▶ Huzoor Rehmat Ul Lil Aalameen ﷺ Sahaba e Kiram رضي الله عنهم ki jama'at se  irshad farmate haiñ falañ shakhs ke inteqaal ke baad, kya tumhe pata hai Allah ﷻ ne usse jannat mein dakhil farmaya, logoñ ko sun kar bada ta'ajjub huwa kyuki unka bazaahir aisa koi bada neik amal nahi tha. Yeh sun kar ek Sahabi unke ghar waloñ se puchne pahuche to bataya gaya ki unka koi khaas Amal to na tha lekin jabh bhi Azaan hoti to apne tamaam kaam kaaj chhor kar gaur se Azaan sunte aur jawab dete.

سُــــبْحانَ الله

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #476

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sahaba e kiram رضي الله عنهم ki jama'at riwayat farmati hai jabh Hazrat e Ameer e Hamza رضي الله عنه shaheed huwe to RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya, Aapki judaai se badhkar mere liye koi aur sadma nahi ho sakta.

Phir Hazrat e Fatima رضي الله عنها aur apni phupi Hazrat e Safiya رضي الله عنها se farmaya khush ho jaao abhi Roohul Ameen Hazrat e Jibreel علیہ السلام mere khidmat mein haazir huwe aur khush khabri sunaayi ke Yakeenan Hazrat e Hazma رضي الله عنه ka naam e mubarak aasmaan waalon mein likha huwa hai "Sayyeduna Hamza رضي الله عنه Allah ﷻ aur uske Rasool ﷺ ke sher (lion) hai.

#Al Mustadrak Al Sahiheen, Hadees No 4869.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


UNKE AAGE WOH HAMZA KI JAAN BAAZIYAAN
SHER E GURRAANE SATWAT PE LAAKON SALAAM

Hazrat e Ameer e Hamza Radiallahu Anhu #475

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Sayyeduna Ameer e Hamza رضي الله عنه ki wiladat Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki wiladat e mubarak se chaar (4) saal pehle huwi.

Aap imaan ki daulat se Ailaan e Nubuwat ke doosre saal sarfaraz huwe.

Islam ka pehla jhanda Sarwar e Aalam ﷺ ne Hazrat Ameer e Hamza رضي الله عنه ke liye taiyar karwaya tha.

Hazrat Ameer e Hamza رضي الله عنه ke haathoñ jung e uhad mein 31 mushrikeen feenaare jahannam huwe.

Wahshi bin harb ne Aapko qatl kiya, inhone baad mein islaam qabool kiya.

Jabal e uhad ke daaman mein yaani ussi maidaan mein Aapko dafn kiya gaya.

Hazrat Ibn Saad رضي الله عنه se riwayat hai k Hazrate Ameer e Muawiya رضي الله عنه ke daur mein Hazrat e Ameer e Hamza رضي الله عنه ke mazar ke kareeb se neher khodi gayi. Bekhabari mein aapke qadam e mubarak ki taraf kulhada pad gaya jiski wajeh se taaza khoon beh nikla haalaan ke Aapke wisaal ko us waqt 46 saal guzar chuke they.

Aaj aapka yaum e wisal hai khoob isale sawab kare..

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 475

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 167.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur kahenge pairo kaash humeiñ laut jaana hota (duniya mein) to hum unke tod dete jaise unhone hum se tod di yuñ hi Allah unhe dikhayega unke kaam un par hasarate hokar aur woh dozakh se nikalne wale nahi.

▶ Tafseer
▶ Yaani Allah Ta’ala unke bure aamaal unke saamne karega to unhe nihayat hasarat hogi ki unhone yeh kaam kyu kiye the, ek qaul yeh hai ki Jannat ke maqamaat dikha kar unse kaha jaayega ki agar tum Allah Ta’ala ki farmabardari karte to yeh tumhare liye the fir wo masakin wa manazil momineen ko diye jayenge is par unhe hasarat wa nadaamat hogi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Mujadid e Aazam Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat #475

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Adab e Baargaah e  Murshid.

Peer Khana (Mahrehra Shareef jahan se Aap mureed they) ka hadd darja ehteraam farmate they Mahrehra station se Khankaahe Barkatiya tak Nange pair tashreef le jaate. ek martaba Sajjada Nasheen sahab ne ghar ki rakhwali ke liye Do kutto ki farmayish ki Aapne kamala Adab se jawab diya ki Faqeer jaldi do kutte Hazire khidmat kar dega phir Barielly Shareef se aapne apne dono sahibzaado ko Khankaahe Aaliya Barkatiya mein laaye aur Sajjad Nasheen sahab se arz kiya, Huzoor ye saara din kaam kaaj bhi karenge aur raat ko rakhwali bhi karenge. Phir ek martaba gaur se parhe ki Peero Murshid ka Peer Khana ke Kisi bhi makhdoom zaade ke hukm ka kitna pyaar aur Aqeedat se bhara huwa jawab Apne waqt ke mujaddid de rahe hai aur saath hi yeh dars bhi de rahe hai ki jabh tak apne murshid ke darr ka Kutta na banoge tabh tak Kuch haasil na hoga. Doosre lafzo mein hum is aqeedat-o-muhabbat ki hadd keh sakte hai.

Yun to Jahan mein Peer Bahot hai aye Barkatee deewaano,
Mere Raza Ka murshid hona Sabke bas ki baat ki Nahi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Azaan Ke Masael # 475

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Azaan mein qul 15 kalemaat hai.

▶ RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ agar koi Musalmaan Aurat ek muqammal Azaan ka jawab de, yaani mo'azzin jo bhi kahe usko dohrati jaye to
▶15,00,000 pañdrah laakh nekiyaan milegi,
▶ 15,000 darajaat buland honge,
▶ 15,000 gunah maaf honge,
▶ Agar Musalman Mard yeh jawabaat de to iss sawab se dugna milega.
#Kanzul Ummal.

Iss tarah Andaza lagaaye ke 5 waqt ki Azaan ke jawab apne kamkaaj chhor kar deiñ to kitna sawab mil sakta hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


Hadees e Mubaraka #475

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ logoñ mein Mujhse sabse zyada kareeb (qayamat ke din) woh hoga jo unmein se Mujh par bahot kasrat se Darood bhejega.

#Dalail_Ul_Khairat Shareef.

JUMMA MUBARAK

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

DUNIYA O AAKHIRAT MEIN JABH MAIÑ RAHU SALAAMAT
PYAARE PARHU NA KYU KAR TUM PAR SALAAM HAR DAM

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 474

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 166.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jabh Bezaar hoñge peshwa apne pairuo se.
2⃣ Aur dekhenge Azaab aur Kat jaayegi un sab ki dore.

▶ Tafseer
1⃣ Yeh Roz e Qayamat ka bayan hai jabh mushrikeen aur unke peshwa jinhone unhe kufr ki targeeb di thi ek jagah jama hone aur azaab naazil hota huwa dekh kar ek doosre se bezaar ho jayenge.
2⃣ Yaani wo tamaam ta’alluqaat jo duniya mein maabain the khwaah dostiya ho ya rishtedaariya ya baahami muwafaqat ke ahad.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Mujadid e Aazam Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat #474

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Aapka Taqwa wa Parhezgaari

Aala Hazrat ki zindagi ka aakhri Ramzan san 1339 Hijri mein tha us waqt ek to Bareilly Shareef mein sakht garmi thi doosra umre Mubarak ka aakhri hissa us par kamzori aur marz ki shiddat aise mauke par shariat ijazat deti hai ki shaikhe faani roza na rakh sake to fidiya de aur naatwa mareez ko ijazat hai ki qazaa kare lekin Imam Ahmed Raza ka fatwa apne liye kuch aur hi tha jo dar haqeeqat fatwa nahi taqwa tha unhone farmaya ki Barielly mein shiddate garmi ke sabab mere liye roza rakhna mumkin nahi lekin pahaad par thandak hoti hai yahañ se nainitaal kareeb hai muwali pahaad par roza rakha jaa sakta hai maiñ waha jaane par qaadir hu lihaaza mere upar waha roza rakhna farz hai chunanche razmaan shareef Aapne wahi guzara aur poore roze rakhe.

Aapko marz maheeno se tha aur aisa ki chalne firne ki taakat nahi Shari'at ijazat deti hai ki aisa mareez ghar mein tanha namaz parh le magar qurban jaaiye Imam Ahmed Raza Fazile Barielwy رضي الله عنه ke taqwa par ki aap fatwa par taqwa ko tarjeeh dete huwe jama'at ki paabandi karte aur chaar aadmi kursi par bitha kar masjid tak pahuchate jabh tak is tarah haziri ki quwwat wa qudrat thi jama'at mein shareek hote rahe.

Ek baar masjid le jaane wala koi nahi tha jama'at ka waqt ho gaya tabiyyat pareshan naachaar khud hi kisi tarah ghisitte huwe haazire Masjid huwe aur ba-jama'at namaz adaa ki.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Gusl Ke Masael # 474

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Dariya aur talaab aur baarish mein gusl kaise kare?

▶ Dariya ya naher mein gusl karne ke liye sirf thodi deir poore jism ko paani mein dubakar ruke rahe to gusl ho jayega, kulli zaroor kare aur naak mein paani bhi chadaye.
▶ Taalab ya hauz mein ya koi thehre huwe paani mein gusl ke liye paani mein utar kar apne badan ko chaar (4) baar harkat dein ya jagah badle aur kulli aur naak mein paani chadaye.
▶ Baarish mein khada ho gaya aur saare badan par paani pahuch gaya aur kulli aur naak mein paani chada leiñ to gusl ho jaaega.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #474

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Ibne Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad Farmate haiñ jo aansu aankh se bahey aur takleef se ho to woh Allah ﷻ ki taraf se hai aur uski Rehmat ka hissa hai, aur takleef ka zaahir karna jo haath aur zaban se hai woh shaitaan ki taraf se hai.

#Mishkaat Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

#Amaan_Qaaim_Rakheiñ


KHAAK HO KAR ISHQ MEIN
ARAAM SE SONA MILA
JAAN KI IKSEER HAI ULFAT
RASOOLALLAH ﷺ ki

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 473

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 164 & 165.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Beshak Aasmano aur Zameen ki paidaish aur raat wa din ka badalte aana aur kashti ki dariya mein logo ke fayede lekar chalti hai aur woh jo Allah ne Aasmaan mein paani utaar kar murda zameen ko usse jeela diya aur zameen mein har qism ke jaanwar failaye aur hawaaoñ ki gardish aur woh baadal ki aasaman wa zameen wa bdech mein hukm ka baandha hai in Sab mein aqlmando ke liye nishaniya Hai. aur kuch log Allah ke siwa Ma’abood bana lete hai ki unhe Allah ki tarah mehboob rakhte hai, aur imaan waalo ko Allah ke barabar kisi ki muhabbat nahi aur kaisi ho agar dekhe zaalim wo waqt jab ki azaab unki aankhon ke saamne aayega is liye ki saara zor Khuda ko hai aur isliye ki Allah ka Azaab bahot sakht hai.

▶ Tafseer
▶ Kaaba e Muazzama ke gird mushrikeen ke teen sau saañth (360) boot the jinhe wo Ma’abood aitekaad karte the unhe ye sun kar badi hairat huwi ki Ma’abood sirf ek hi hai uske siwa koi Ma’abood nahi isliye unhone Sayyade Aalam ﷺ se aisi Aayat talab ki jisse wahadaaniyat par istidal'aal sahi ho is par yeh Aayat Naazil huwi
▶ aur unhe ye bataya gaya ki aasmaan aur uski bulandi aur uska baghair sutoon aur ilaaqa se qayam rehna aur jo kuch usme nazar aata hai aaftab mehtaab sitaare waghairah ye tamaam aur zameen aur uski daraazi aur paani par mafrush hona aur pahaad dariya chashme muaawin jawahar darakht sabza phal aur shab wa roz ka aana jaana ghatna badhna kashtiya aur unka musakkhar hona bawajood bahot se wazan aur bojh ke roo e aab par rehna aur aadminyon ka unme sawar hokar dariya ke ajaaeeb dekhna aur tijaarato mein unse baarbardaari ka kaam lena aur bearish aur usse khushk wa murda ho jaane ke baad zameen ka sar sabz wa shaadab karna aur taaza zindahi ata farmana aur zameen ki Anwa’a wa Aksaam ke jaanwaro se bhar dena jin mein be shumaar ajaeeb hikmat wadi’at hai isi tarah hawao ki gardish aur unke khaas aur hawa ke anwa’a hai jo Hazrat Qaadire Mukhtar ke ilm wa
hikmat aur uski wahdaaniyat par burhane qawi hai aur unki dalalat wahdaniyat par beshumar wuzooh se hai ijmaai bayaan ye hai ki ye sab umoor e mumkeena hai aur unka wujood bahot se mukhtalif tareeko se mumkin tha magar wo makhsoos shaan se wujood mein aaye yeh dalalat karta hai ki zaroor unke liye mujeed hai Quadir wa hakeem jo ba-mutajaaye hikmat wa mashiyat jaisa chahta hai banata hai kisi ko dakhal wa aiteraaz ki majaal nahi wo Ma’abood bil yakeen Waahid wa Yakta hai
▶ kyuki agar uske saath koi doosra Ma’aboob bhi farz kiya jaaye to usko bhi is maqduraat par Quadir manna padega abh do haal se khaali nahi ya to ijaad wa taasir mein dono muttafikul irada hone ya na honge agar ho to ek ki shaye wujood mein do mu’assiro ka taasir karna laazim aayega aur yeh muhaal hai kyuki woh mustaljim hai ma’alul ke dono se mustagani (beparwah) hone ko aur dono ki taraf muftaqeer hone ko kyuki illat jabh mustaqeela ho to ma’alul sirf usiki taraf mohtaaj hota hai doosre ki taraf mohtaaj nahi hota aur dono ki illate mustaqeela farz kiya gaya hai to laazim aayega ki Ma’alul dono mein se har ek ki taraf mohtaaj ho aur har ek se Gani ho to Nakizain mujtma’a ho gayi aur yeh muhaal hai agar ye
Farz karo ki taasir unme se ek ki hai to tarjeeh bila murajjah laazim aayegi aur doosre ka izza laazim aayega jo ilaah hone ke munafi hai
▶ aur agar ye farz karo dono ke iraade mukhtalif hote hai to tamano’a wa tataarud laazim aayega ki ek kisi shay ke wajood ka iraada kare aur doosra usi haal mein uske adam ka to woh shay ek hi haal mein maujood wa ma’adum dono hogi ya dono na hogi yeh dono taqdeere baatil hai to zaroor hai ki ya maujudgi hogi ya ma’adum ek hi baat hogi agar maujud huwi to adam ka chahne wala aajiz huwa ilaah na raha aur agar ma’adum na huwi to wujood ka iraada karne wala majboor raha Ilaah na raha
▶ lihaaza saabit ho gaya ki Ilaah ek hi ho sakta hai aur ye tamam Anwa’a be nihayat wuzooh se uski Tauheed par dalalat karte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Mujadid e Aazam Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat #473

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Aap ki Yaad-daasht

Aala Hazrat Imaam Ahmed Raza Fazile Barielwy ki yaad-dasht aur zihanat ka yeh aalam the ki madarsa mein ustaad  se sabaq parhte to parhne ke baad ek baar use kitaab mein dekh kar rakh dete ustade muhtaram jabh sabaq sunte to lafz ba lafz suna dete. Aapki yaad-dasht wa zihanat ka yeh aalam dekh kar ustade muhtaram sakht mut’ajjub hote ek roz ustade muhtaram kehne lage “Ahmed Raza tum aadmi ho jinn? mujhko parhate deir lagti hai tumhe yaad karne deir nahi lagti.“

Maulana Ehsan Hussain sahab bayan karte hai ki maiñ faazile barielwy ki ibtidayi taalim arabi mein hum Sabaq (saathi) raha hu shuru se hi unki zihanat aur yaad-dasht ka yeh aalam tha ki kitaab ka chowthayi hissa ustaad se parhte baaki hissa khud yaad kar ke suna dete the. ek martaba Aap shadeed beemar ho gaye hakeemo ne muqammal aaram karne ka mashwara diya Aapne waada farma liya lekin jabh koi fatawa aata to aap shagirdo se farmate fula(n) Almari mein Fula(n) kitaab ke Fula(n) Fula(n) satar se fula(n) satar tak is sawal ka jawab maujud hai use naql kar do.

Agar koi buland aawaz se Kalaame Paak parh raha hota aur zer zabar ya pesh ki koi galti karta aur aap kitne hi masroof kyu na hote use fauran tok dete aur islah ( Durust ) farma kar ye bhi bata dete ki wo is pare ke kis Ruku ki kis Aayat par kis Lafz par galti kar raha hai.
Subhan Allah kya shaan hai mere Aala Hazrat ki.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Gusl Ke Masael # 473

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


⏩ Gusl kin baatoñ se farz hota hai?

▶ Mani ka apni jagah se shehwat ke saath juda ho kar uzwu (sharmgaah) se nikalna.
▶ Ehtelaam yani sote mein mani ka nikal jana.
▶ Aurat par haiz se faarig hone ke baad.
▶ Aurat par nifas se farig hone ke baad.
▶ Nifaas matlab bacche ki paidaish ke baad aurat ko jo khoon aata hai usse nifas kehte hai.
▶ Nifas ki zyada se zyada muddat 40 din hai, agar 40 din ke baad bhi band na ho toh beemari hai.
▶ 40 din poore hote hi gusl kar le. Agar 40 din se pehle band ho jaye toh gusl kare aur namaaz shuru kar de.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #473

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ beshak Risaalat wa Nubuwat bil yakeen munqata ho chuki hai, Mere baad na koi Rasool ho sakta hai na koi Nabi

#Tirmizi Shareef, Jild 2, Safah 53, Hadees No 2441.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


TUMHARE BAAD PAIDA HO NABI KOI NAHI MUMKIN
NUBUWAT KHATM HAI TUM PAR KE KHATMUL AMBIYA TUM HO

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 472

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 162 & 163.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Hamesha rahenge usme na un par se azaab halka ho aur na unhe mohlat di jaaye
aur tumhara Ma’abood ek Ma’abood hai uske siwa koi Ma’abood nahi magar wahi rehmat wala meherbaan.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool kuffar ne Sayyade Aalam ﷺ se  kaha Aap Apne Rab ki shaan wa sifat bayaan farmaiye is par ye Aayat Naazil huwi aur unhe bata diya gaya ki Ma’abood sirf ek hai na wo Mutajazzi hota hai na Munkasim na uske liye Misl na Nazeer, Uloohiyat wa Ruboobiyat mein koi uska shareek nahi wo yakta hai apne Af’aal mein masnuaat ko tanha ussi ne banaya wo apni zaat mein akela hai koi uska kaseem nahi apne sifaat mein yagana hai koi uska shabeeh nahi Abu Dawood wa Tirmizi ki Hadees mein hai ki Allah Ta’ala ka Isme Aazam in do Aayato mein hai ek yahi Aayat Wa Ilaahukum aur doosri Aleef Laam Meem Allahu Laa Ilaahu Illa huwa Al-Aayat.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Mujadid e Aazam Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat #472

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Bachpan ke Haalat

Ramzanul Mubarak ka Mahina tha Aala Hazrat Mujaddide Deeno Millat Imam Ahemad Raza Fazile Barielwy رضي الله عنه ke pehle Roze ke iftar ki taqreeb manayi jaa rahi thi Garmi apne shabaab par thi aapke walide mohtaram aapko saath le kar ek kamre mein tashreef le gaye jahañ Firni kye pyaale saje rakhe the Hazrate waalide muhtaram ne aap se farmaya’ “lo kha lo“
Hamare Aala Hazrat ne arz ki , “abba Huzoor mera to roza hai kaise khaa lu? “ is jawab par aapke waalide muhtaram ne farmaya , Beta bachho ka roza aisa hi hota hai, maiñe darwaza band kar diya hai koi dekhne wala nahi hai kisi ko khabar bhi nahi hogi chupke se kha lo.

Imame Ahle Sunnat ne badi matanat se arz kiya, Abba Huzoor jiske hukm se roza hai wo to dekh raha hai kaise kha lu. Aap ka jawab sunte hi aap ke walide muhtaram ki aankho mein aansuu chalak pare aur kamra khol kar aapko bahar le aaye, gaur farmaiye woh Aala Hazrat jinke bachpan ka yeaalam raha hai to phir jawani mein Hukme Khuda wa RasoolAllah ﷺ ke kis qadar paband rahe honge.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Gusl Ke Masael # 472

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Gusl ka tariqa.

▶ Gusl khaane mein dakhil hone aur be libas hone se pehle Niyyat aur Bismillah Shareef padh le.
▶ Pehle dono haath gatton tak 3 bar dho leiñ.
▶ Phir peshab pakhane ki jagah dho leiñ chahe najasat lagi ho ya na lagi ho.
▶ Phir badan par kahi bhi najasat lagi ho usse durr kare.
▶ Phir wazu kare phir badan par teil ki malish ki tarah pani masle khas kar thandi ke mausam mein.
▶ Phir 3 bar sidhe kandhe par paani bahaye.
▶ Phir 3 bar ulte kandhe par pani bahaye.
▶ Phir sar aur tamaam jism par 3 bar pani pahuchaye.
▶ Nahate huwe kisi tarah ki baat chit na kare.
▶ Nahane ke baad fauran kapde pahen leiñ.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #472

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e  ibne Abbas  رضي الله عنه se rivayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne irshad farmaya ki tu jo chahe kha aur jo chahe pehen
Jab tak do baatein na ho israaf aur takabbur..

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


KHAYA PIYA AUR PEHNA
ACHHOÑ SE RAHA ACHHA
KUCH DEEN KA BHI KAR LE
DUNIYA KA HAI KYA KARNA

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #471

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 160 & 161.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Magar woh jo tauba kare aur sanware aur zaahir kar de to Maiñ unki tauba qubool farmaunga aur Maiñ hi bada tauba qubool karne wala hu. Beshak wo jinhone kufr kiya aur kaafir hi mare un par laanat hai Allah aur Farishton aur Aadmiyoñ sab ki.

▶ Tafseer
▶ Momin to kaafiroñ par laanat karenge hi kaafir bhi Roze qayamat baaham ek doosre par laanat karenge.
▶ Masla- Iss Aayat se un par laanat farmayi gayi jo kufr par mare isse maloom huwa ki jiski maut kufr par maloom ho us par laanat karni jayaz hai.
▶ Masla- Gunehgaar Musalman par bit’ayyun laanat karna jayez nahi lekin alal’itlaaq jayez hai jaise ki Hadees Shareef mein chor aur sood khor waghairah par laanat aayi hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Mujadid e Aazam Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat #471

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Bachpan ke Haalat

Aala Hazrat رضي الله عنه ke bachpan ke zamaana mein jo Maulvi Sahab Aapko parhaya karte the ek din baccho ne maulvi sahab ko Salaam kiye maulvi sahab ne bachho ke salaam ka jawab is tarah diya "Jeete Raho" iss jawab par Aala Hazrat ne farmaya maulvi sahab yeh to salaam ka jawab na huwa Aapko وَعَلَيْكُمُ السَّلاَم kehna chahiya tha. maulvi sahab aapka jawab sun kar  bahot khush huwe 6 baras ki umr shareef mein aapne maloom kar liya tha ki Bagdaad Shareef kidhar hai yaani hindustan se Baghdad Shareef kis jaanib hai phir us waqt se dame aakhir tak Baghdad shareef ki taraf Panv nahi faialaya.
Subhan Allah 'Aqeedat Isko Kehte Hai, Muhabbat Isko Kehte Hai.'

Kis tarah itne ilm ke dariya bahaa diye..
Aulma e Haq ki aql to hairaañ hai aaj bhi..

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 471

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Pan kasrat se khaane wale logoñ se ilteja hai ke aksar dekha gaya ke zyada paan khane ki wajah se pan ke zarrat aur barik tukde daantoñ ke darmiyaan fas jaate hai aur chipak jaate hai ke khilaal aur miswak koi cheez usse chuda nahi paati siwaye kulliyon ke aise afraad ko chahiye ke muñh mein paani bhar ke khoob zumbish de aur khoob zor se muñh mein ghumaein ke barik zarre jo daanton aur unke darmiyaan mein fase huwe hai woh chhutkar alag ho jaye chahe uske liye 10 kulli ya isse zyada hi kyu na karni padhey.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Ahadees e Mubaraka #471

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya ke jisne khawaab mein Mujhko dekha usne wakaai Mujhko dekha kyuke shaitaan Meri surat mein kabhi nahi aa sakta.

#Tirmizi Shareef.

Naseeb waale dekhte hai khawaab mein Huzoor ﷺ ko.
Magar kisine jaagte mein dekha Haq ke Noor ko.
Hai aisa kaun dosto batata hu suno suno.
Woh Ishq ka Imaam hai
Raza usika naam hai.

Yaum e Raza Aalam e Islam ko Mubarak ho..!

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

KHAWAAB MEIN AAPKE
BEEMAR NE JALWE DEKHE
EK AJAB LUTF MILA
MEHWAY TAMAASHA HO KAR.
~ Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat رضي الله عنه

Mujadid e Aazam Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat # 370

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Aap ki Wiladat ( Paidaish )

Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Fazile Bareilly ki wiladate baa Sa’adat ( Paidaish ) 10 shawwal san 1272 Hijri Mutabiq 14 June 1856 Baroz Shamba ( Shanichar ) zuhar ke waqt Shahre Bareilly Shareef Mohalla Jasauli mein huwi. Paidaishi Naam “Muhammed” Aur tareekhi Naam “Al’Mukhtar” aur Aap ke dada Huzoor Hazrat Maulana Raza Ali Khan ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne Aap ka Ism Shareef ( Naam ) Ahmed Raza Rakha, Aapke walide girami Hazrat Maulana Shah Naqi Ali Khan ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ apne duar mein Hindustan ke ek Jayyad Aalim aur Bulanda Paaya Mufti the Aap ki buzurgi ka yeh aalam tha ki jo kuch zabaane aqdas se farma dete wahi samne aata.

Aap ne ek ajeeb khwaab dekha aur agle roz apne waalid e Maajid Hazrat Maulana Shah Raza Ali Khan ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ se khwab bayan farmaya, jiski taabeer aapne yeh batayi ke khawab mubarak hai basharat hai ki Allah Rabbu Izzat tumhari pusht se ek Saaleh (Parhezgar) farzand paida karega jo uloom ke dariya bahayega aur Uski shohrat mashriko maghrib mein failegi, jabh Aala Hazrat Paidah huwe to Aapke Dada Huzoor jo taqwa wa taharat aur Ilm-e-Fazl mein ek maqaam rakhte the, Aap ko gaud mein uthaya, pyaar kiya aur farmaya, Mera Yeh beta Bahot Bada Aalim Hoga Iske Ilmo Fazl Jamalo Kamaal se ek Duniya sairaab Hogi.

Aap ka Isme Girami "Muhammed" Rakha gaya Aap ke dada Huzoor ne Ahmed Raza Tazweej farmaya aur khud Aala Hazrat ne Apne naam ke saath Abdul Mustafa Ka Izaafa farmaya aur Apne Naatiya Deewan mein yuñ farmate hai, 'Khauf na rakh Raza zara tu to hai Abde Mustafa, tere liye amaan hai tere liye amaan hai.'

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 470

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 159

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Beshak woh jo Hamari utaari huwi raushan baatoñ aur hidayatoñ ko chupaate hai.
2⃣ Baad iske ki logoñ ke liye hum use kitaab mein waajeh farma chuke un par Allah ki Laanat hai aur Laanat karne waalo ki Laanat.

▶ Tafseer
1⃣ Yeh Aayat un aulma e yahood ke haq mein naazil huwi jo Sayyade Aalam ﷺ ki Naat shareef aur Aayat Rajam aur Tauret shareef ke doosre ahkaam ko chupaya karte the.
▶ Masla- Uloome Deen ka Izhaar farz hai.
2⃣ Lanat karne waalo se Malaaeka wa Momineen muraad hai ek Qaul ye bhi hai ki Allah ke tamaam bande muraad hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 470

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Muñh bhar qaai (vomit) ki jis mein khaana, paani ya pile rang ka kadwa paani ho toh wazu toott jayega.
Muñh bhar qaai ka matlab itni qaai ke jisko rokne mein takleef ho aur itni qaai agar ho toh peshab ki tarah napaak hai.
▶ Ruku sajde wali namaaz mein baalig ne aawaaz ke saath zor se hasaa ke aur logoñ ne bhi suna to wazu bhi toot'ta aur namaaz bhi jaati rahi aur agar bina aawaaz ke sirf muskraya to na wazu toot'ta na namaaz.
▶ Agar baalig namaaze janaza mein aawaz ke saath zor se hasaa toh namaaz toot gayi wazu nahi tootega.
Namaaz se bahar koi zor se hasse to wazu nahi tootega.
▶ Aankh ki bimaari ki wajah se jo aansu nikle woh naapaak hai aur wazu bhi toot jayega.
▶ Sireenz ke zariye test karne ke liye khoon nikalne se wazu toot jaata hai.
▶ Nass mein injection lagate waqt agar pehle khoon khicha ke khoon sireenz tak beh kar aagaya to wazu toot gaya.
▶ Issi tarah glucose ya kisi bhi tarah ka bottel chadhane se bhi wazu toot jaata hai isliye ke pehle khoon khinch kar sireenz mein lete hai aur khoon nikal bahey to wazu toot jaata hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #471

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abu Huraira رضي الله عنه
Se marvi hai ke Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne irshad farmaya ke khade hokar hargiz koi shaks paani na piye aur jo bhool kar aisa kar guzre usey chahiye ki qayi (vomit) kar de.

#Sahih Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


PIJIYE PAANI BAITH KAR PIJIYE PAANI DEKH KAR
PIJIYE PAANI TEEN SAANS MEIN
KIJIYE AMAL SUNNAT E RASOOL ﷺ PAR

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 470

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 469.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 157 & 158.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ To jo us ghar ka Hajj ya Umrah kare us par kuch nahi ki un dono ke fere kare  aur jo koi bhali baat apni taraf se kare to Allah Neki ka sila dene wala Khabardar hai.

▶ Tafseer
3⃣ Shane nuzool zamana e jahiliyyat mein Safah wa Marwah par do boot rakhe the Safah par jo boot tha uska naam asaaf aur jo Marwah par tha uska naam naeela tha kuffar jabh Safah wa Marwah ke darmiyan saee karte to un booto par taaziman haath phairte Ahade Islam mein boot to tode gaye lekin chunki kuffar yahan mushrikaana fail karte the isliye musalmano ko Safah wa Marwah ke darmiyan saee karna girra huwa ki isme kuffar ke mushrikana fail ke saath kuch mushabihat hai is aayat mein unka itminan farma diya ki chuñki tumhari niyyat khaalis Ibadate Ilahi ki hai tumhe Andesha e Mushabihat nahi jis taraf Kaaba ke andar zamana e jahiliyyat mein kuffar ne boot rakhe the abh Ahade Islaam mein Boot utha diye gaye aur Kaaba Shareef ka tawaf durust raha aur woh Sha’aeere Deen mein se raha isi tarah kuffar ki boot parasti se Safah wa Mawrah ke Sha’aeere Deen hone mein kuch fark nahi aaya.
▶ Masla-  Saee (Yani Safah wa Marwah ke darmiyan daudna) waajib hai Hadees se saabit hai Sayyade Aalam ﷺ ne is par mudawamat farmyai hai iske tarq se dum dena yaani qurbani wajib hoti hai.
▶ Masla- Safah wa Marwah ke darmiyan saee Hajj wa Umrah mein laazim hai fark yeh hai ki Hajj ke andar Arafaat mein jana aur waha se tawafe Kaaba  ke liye aana Shart hai aur Umrah ke liye Arafat mein jana shart nahi.
▶ Masla- Umrah karne wala agar baitune Makkah se aaye usko Barahe Raast Makkah Muqarrama mein aakar tawaf karna chahiye aur agar Makkah ka saakin ho to usko chahiye ki Haram se bahar jaaye waha se tawafe Kaaba ke liye ehraam baandh kar aaye Hajj wa Umrah mein ek fark ye bhi hai ki Hajj saal mein ek hi martaba ho sakta hai Kyuki Arafat mein Arafa ke din yaani navvi Zilhijjah ko jaana Hajj mein shart hai  saal mein ek hi martaba mumkin hai aur Umrah har din ho sakta hai iske liye koi waqt Mu’ayyan nahi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 469

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Wazu kin baatoñ se toot'ta hai?

▶ Peshaab, paakhaana wadi, maazi, mani, keeda, pathri yeh cheezein mard ya aurat ke aage ya piche se nikle toh wazu jaata rahega.
▶ Mard ya aurat ke piche se mamuli si hawa bhi nikli to wazu toot gaya.
▶ Behosh ho jaane se wazu toot jaata hai.
▶ Wazu karte huwe agar hawa chuti ya koi aur wajah se wazu toot jaaye to phir shuru se wazu kare.
▶ Muñh se khoon nikla agar thuk se zyada hai ke thuk laal ho jaaye to wazu toot jaaega sirf itna khoon nikla ke thuk pila huwa toh wazu nahi tootega.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #469

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Huzaifa رضي الله عنه se marwi ki Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne farmaya ki jis khaane par بسم الله الرحمن الرحيم na parhi jaaye shaitaan ke liye woh khaana halaal ho jaata hai yaani بسم الله الرحمن الرحيم na parhne ki soorat mein shaitaan uss khaane mein shareek ho jaata hai..

#Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

APNI GIZA KI HIFAZAT KARO
KHANE SE PEHLE BISMILLAH PARHO
SHAITAAN HOJAAEGA MEELO DURR
KHANA BARKATO SE HOJAEGA BHARPUR

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 469

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 157 & 158.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Ye log hai jin par unke Rab ki Daroode hai aur Rehmat aur yahi log raah par hai beshak Safah aur marwah.
2⃣ Allah ke nishano se hai

▶ Tafseer
1⃣ Safah wa Marwah Makkah Muqarrama ke do pahaad hai jo Kaaba Mua’zzama ke muqabil jaanibe Sharq Waaqe hai Marwah Shumal ki taraf maaeel hai aur safah junoob ki taraf Jabal Abi Qubais ke daman mein hai ki Hazrate Haajra Aur Hazrate Ismaeel عليه السلام ne in dono pahado ke kareeb us maqaam par jahañ chahe zamzam hai Ba-hukm e Ilaahi Sukoonat ikhtiyar farmayi us waqt  yeh maqaam sanglaakh bayabaan tha na yahan sabza tha na paani na khurd wa nosh ka koi saaman Raza-e- Ilahi ke liye un maqbool bando ne sabr kiya Hazrate Ismaeel عليه السلام bohat khurd saal the Tishnagi se jabh unki jaan balabi ki halat huwi to Hazrate Hajra betaab ho kar kohe Safah par tashreef le gayi waha bhi paani na paaya to utar kar nasheb ke maidain mein daudti huwi Marwah tak pahuchi is tarah 7 martaba gardhish aur Alllah Ta’ala ne Innalaaha Ma'as'saabireen ka jalwa is tarah zaahir farma ki gaib se ek chashma namudaar kiya aur unke sabr wa ikhlaas ki barkat se unke itteba’a mein in dono pahado ke darmiyan daudne waloñ ko maqboole baargaah kiya aur un dono ko mehle ijaabate dua banya.
2⃣ Sha’aeerullah se Deen ke A’alaam yaani nishaniya murad hai khwah wo makanaat ho jaise Kaaba, Arafaat, muzdalfa, zimaare salaasa, Safah, Marwah, Meena, Masaajid yaa Azmina jaise Razmzaan Ash’hare Haraam Eide Fitr wa Azha, Jumma, Ayyame Tashreeq yaa doosre alaamat jaise Azaane Iqaamat Namaz Ba-jamaat Namaze Jumma, Namaze Eidain Khatna yeh shab Sha’aaieere Deen hai.

〰〰 to be contd..
fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 468

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Wazu kin baton se nahi toot'ta..?

▶ Naak saaf ki uss mein se jama huwa khoon nikla wazu na toot'ta.
▶ Aam logoñ mein mashoor hai ke ghutna dekhne se ya khul jaane se apna ya doosre ka satr dekhne se wazu toot jaata hai. Yeh baat galat hai isse wazu nahi toot'ta.
▶ Jo aansu rone mein nikalte hai na unse wazu toot'ta hai nahi woh napaak hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #468

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ek roz tashreef laaye aur Aapke Rukh e Anwar se khushi zaahir ho rahi thi, Aapne farmaya Mere pass Jibreel علیہ السلام aaye aur arz ki kya aap iss baat par raazi nahi ki Aapka koi ummati Aap par ek baar darood bheje to Maiñ uspar dus (10) baar darood bheju. Aur Aapka jo ummati Aap par ek baar salaam bheje to Maiñ uspar dus (10) baar salam bheju.

#Dalailul Khairaat Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

HUM GAREEBOÑ KE AAQA PE BEHAD DAROOD
HUM FAKEEROÑ KI SARWAT PE LAAKHOÑ SALAAM

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #467

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 156

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Ki jabh un par koi musibat pade to kahe hum Allah ke maal hai aur humko usi ki taraf phirna.

▶ Tafseer
▶ Hadees Shareef mein hai ki waqte Musibat ke ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ parhna Rehmat e Ilahi ka sabab hota hai yeh bhi Hadees mein hain ki Momin ki takleef ko Allah Ta’ala kaffara e gunah banata hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 467

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Wazu ka tariqa

▶ Koniyoñ (elbow) ke saath dono haath dhoeiñ.
▶ Iske baad chauthaai (1/4) sar masah karein dono haathoñ ko pani se tar kar le aur ungliyon ke kinaron ko aapas me mila kar peshani ke kareeb baaloñ ki jadd se malte huwe is tarah sar ke pichle hisse ki taraf le jayein ke ungliyan aur hatheli baaloñ se lagi huwi ho.
▶ Baad mei  ungliyon ke pichle hisse ko gardan par phairein.
▶ Dono haath ke kalme ki ungli se kaan ka masah kare aur anguthon se kaan ke pichle hisse ka masah kare.
▶ Dono pairon ko takhne saath dho lein pair dhote waqt ulte hath ki aakhri ungli ko pairon ki ungliyon ke darmiyan dakhil karein.

⏩ Khaas Baat
▶ Kisi bhi hisse ko dhone ka matlab hai ke uss hisse par kam se kam 2 qatre pani beh jaaye sirf bheeg jaane ya pani ko tel ki tarah masal lene ya ek qatra beh jaane ko dhona nahi kahenge aur na hi iss tarah Wazu ya Gusl adaa hoga.
▶ Sardiyon ke mausam mein wazu se pehle pani se haath bhiga kar wuzu ke aaza par chapad le ke baad mein pani behne mein aasaani ho ke sardiyon (winter) ke mausam mein rueiñ tani huwi hone ki wajah se pani chamdi tak nahi pahuchta hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #467

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh kisi qaum mein fahaashi (badkaari) ka riwaaj barhta hai, yahan tak ke woh ailaaniya behayayi karne lagti hai. To inn logoñ ke darmiyaan aisi beemariya phail jaati hai jo unke islaaf ke zamaane mein maujood nahi thi.

#Ibne Majah Shareef, Hadees No 4155.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


JO KARTE HAI GALAT KAAM
HOTA HAI UNKA BURA ANJAAM
KYA FARMATE HAI KHAIRUL ANAAM
GAUR SE PARH LO SABHI TAMAAM

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #466

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 155

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur zarur Hum tumhe aazmayenge kuch darr aur bhook se.
2⃣ Aur kuch maalo aur jaano aur phalo ki kami se aur khushkhabari suna unn sabr waloñ ko.

▶ Tafseer
1⃣  Aazmayish se farmabadar wa nafarmaan ke haal ka zahir karna muraad hai.
2⃣ Imam Shafayi ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne is Aayat ki tafseer mein farmaya ki Khauf se Allah ﷻ ka darr aur Bhookh se Ramzan ke Roze maalo ki kami se zakaat wa sadqaat dene jaano ki kami se amraaz ke zariya maut hona phalo ki kami se Aulaad ki maut muraad hai isliye ki Aulad dil ka phal hoti hai Hadees Shareef mein hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya jabh kisi bande ka baccha marta hai Allah Ta’ala malayika se farmata hai tum na mere bande ke bacche ki Rooh qabz ki woh arz karte hai ki haa ya Rab phir farmata hai tum ne uske dil ka phal le liya Arz karte hain haan Yaa Rab farmata hai is par mere bande ne kya kaha Arz karte hai usne teri hamd ki aur ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ parha farmata hai uske liye Jannat mein makaan banao aur uska naam Baitul Hamd rakho hikmat musibat ke pesh aane se qabl khabar dene mein kayi hikmate hai ek to ye ki usse aadmi ko waqte musibat sabr aasaan ho jata hai ek yeh ki jabh kaafir dekhe ki Musalman bala wa musibat ke waqt saabir wa shaakir aur istiklaal ke saath apne deen par qayam rehta hai to unhe deen ki khoobi maloom ho aur uski taraf ragabat ho ek yeh ki aane wali musibat ki qabl Wuku e Ittela’a gaibi khabar aur Nabi e Kareem ﷺ ka maujeza hai ek hikmat yeh ki munafiqeen ke qadam ibtela ki khabat se ukhad jaaye aur momin wa munafiq mein imtiyaz ho jaye.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 466

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Wazu ka tariqa

▶ Pehle wazu ki niyyat kare Bismillah Shareef padhe wazu se pehle Bismillah Wal Hamdulillah keh le to jabh tak wazu rahega Fariste nekiyan likhte rahenge.
▶ Dono haath pahñchon tak 3 bar dhoyein.
▶ Miswaak kare na ho to danton par ungli malein.
▶ 3 chillu se 3 bar kulli karein is tarah ke munh ke har purze tak pani pahuche roza na ho toh gargara kare.
▶ Naak mein narm haddi tak pani chadha kar saaf kare 3 bar.
▶ Chehre ko 3 bar dho leiñ iss tarah ke sar ke baaloñ ki jad se todhi tak dadhi ho to dadhi samet aur ek kaan ki lau se dusre kaan ki lau tak pure chehre par se pani beh jaye.
▶ Daadhi ho toh uska khilaal kare sidhe haath ki ungliyoñ ko gale ki taraf daadhi mein daakhil kar ke aage ki taraf nikaale.

To Be Contd...

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #466

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ sulaah ke muamale mein qabeela e bani umro bin auf ke pass tashreef le gaye they iss dauraan Namaaz ka waqt aagaya, Muazzin e Rasool (ﷺ) Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ke khidmat mein haazir huwe aur Imamat karne ki guzarish ki.

Namaaz shuru karne ke baad Huzoor Nabi e Kareem ﷺ tashreef farma huwe, Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ki Namaaz ka yeh aalam tha ke kisi taraf dhyaan nahi jaata. Sahaba e Kiram رضي الله عنهم Aapko, RasoolAllah ﷺ ki aamad ka ehsaas dilane lagey, bil aakhir Aap mut'tawajjeh huwe aur mehsoos kiya Imam ul ambiya ﷺ tashreef farma ho chuke hai fauran musalley se peeche hatey aur saff mein shaamil hogaye.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne Aapko Imamat ka hukm bhi farmaya, magar Aap peeche hatt gaye phir Imam ul Ambiya ﷺ ne Imamat farmayi. Namaaz muqammal hone ke baad RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya aye Abu bakr ! Mere hukm dene ke bawajood bhi tumhe apni jagah qaayim rehne se kis cheez ne roka, Hazrat Abu bakr رضي الله عنه ne arz ki Abu Qahaafa ke berr ki kya majaal ke RasoolAllah ﷺ ke aage Namaaz ada kar sakey.

#Bukhari Shareef, Hadees No 684.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


SAABIT HUWA KE JUMLA FARAIZ FUROO'A HAIÑ
ASLUL USOOL BANDAGI USS TAAJWAR KI HAI

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 465

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 154

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jo Khuda ki raah mein maare jaaye unheiñ murda na kaho.
2⃣ Balki woh zinda hai, Haa tumhe khabar nahi.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat Shohda e Badr ke haq mein naazil huwi log Shohada ke haq mein kehte they ki falaañ ka inteqaal ho gaya woh dunyawi aasaeesh se mehroom ho gaya unke haq mein Aayat naazil huwi.
2⃣ Maut ke baad hi Allah Ta’ala shohada ko hayaat ata farmata hai unki arwaah par rizq pesh kiye jaate hai unheiñ rahate di jaati hai unke Amal jaari rehte hai ajr wa sawaab barhta retha hai. Hadees Shareef mein hai ki Shohada ki Roohe sabz parindo ke kaalib mein jannat ki sair karti aur waha ke mewe aur Nea’mate khati hai.
▶ Masla- Allah Ta’ala ke farmabardar bando ko Qabr mein jannat ki nea’mate milti hai shaheed woh musalman mukallah zaahir hai jo tez Hathiyaar se zulman maara gaya ho aur uske qatl se maal bhi waajib na huwa ya ma’arkae jung mein murda ya zakhmi paaya gaya aur usne kush aasaeesh na paayi us par duniya mein ye ahkaam hai ki na usko gusl diya jaaye na unko kafan, apne kapdo mein hi rakha jaaye usi tarah us par namaz parhi jaaye usi halat mein dafan kiya jaaye Akhirat mein shaheed ka bahot bada rutba hai baaz Shohda woh hai ki un par duniya ke yeh ehkaam jaari nahi hote lekin Aakhirat mein unke liye Shahadat ka darja hai jaise doob kar ya jal kar ya deewar ke niche dab kar marne wala, talabe Ilm, safare Hajj, garze raahe khuda mein marne wala aur nifaas mein marne wali aurat aur peit ke marz aur taoon aur jatuljanaib aur seel mein aur jummah ke roz marne wale waghaira.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 465

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Wazu ke  chaar (4)Faraiz kya hai?

1⃣Chehra dhona.
2⃣ Kohniyoñ (elbow) ke saath dono haath dhona.
3⃣Takhnoñ (ankle) ke saath dono pair dhona.
4⃣ Chauthaai (1/4) sar ka masah karna.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #465

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Sayyeduna Yaas Bin Salma رضي الله عنه apne waalid se riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ sitaare Aasmaan waaloñ ke liye amaan ka zariya hai aur mere ahle bait meri ummat ke liye amaan hai.

#Al Muazzam Al Kabeer Lil Tabraani Hadees No 6137.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

KIS ZABAAÑ SE HO BAYAANE IZZO SHAAN E AHLE BAIT
MADH GOYE MUSTAFA HAIÑ MADHKHWAANE AHLE BAIT

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 464

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 153

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye Imaan waloñ sabr aur Namaz se madad chaho beshak Allah Saabiro ke saath hai.

▶ Tafseer
▶ Hadees shareef mein hain ki Sayyade Aalam ﷺ ko jabh koi sakht muheem pesh aati Namaz mein mashgool ho jaate aur Namaz se madad chahne mein Namaze Istisqa wa Salaate Hajat dakhil hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 464

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


⏩ Wazu ke bagair namaaz hoti hi nahi.

 Mafhoome Ahadees e Pak.

▶ Wazu kar ke sonewala roza rakh kar ibadat karne wale ki tarah hai.
▶ Jisne "Bismillah Shareef" keh kar wazu kiya uska sar se lekar pair tak sara jism paak ho gaya

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #464

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ibtidaai wahi ke nuzool ke baad Huzoor e Akram ﷺ Hazrat e Khadija رضي الله عنها ke pass tashreef laa kar jabh unpar Aayat e Quraan tilawat farmaayi to Ummul Momineen ussi waqt Musharraf ba Islam huwi aur Huzoor ﷺ ki khidmat mein aapne jazba e aqeedat ko yuñ arz kiya, Hargiz nahi Khuda ki Kasam Allah Ta'ala Aapko bemadad nahi rakhega kyuke Aap Mehmaan nawaaz hai, Sila Rehmi Aapka shehwa hai, Natawaañ wa Dardmand ke Aap dastageer hai, Muflis wa Tangdast ke Aap kaarsaaz hai, aur Raah e Haq mein pesh aane waale masaaib par naasir wa madadgaar hai.

#Bukhari Shareef, Jild 1, Safah 3, Baab al Wahi.

Iss Hadees Shareef se yeh baat roz e raushan ki tarah waazeh hai ke duniya Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ko roz e awwal se hi haajat baraar madadgar jaanti aur maanti rahi hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


BEYAARO MADADGAAR JINHEIÑ KOI NA PUCHE
AISOÑ KA TUJHE YAAR O MADADGAAR BANAYA
ALLAH KI REHMAT HAI KE AISE KI YEH KISMAT
AASI KA TUMHEIÑ HAAMI O GAMKHWAAR BANAYA

~Ustad e Zaman Maulana Hasan Raza Khan رضي الله عنه

Hadees e Mubaraka #463

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Nabi e kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate hai jo shakhs 5 namaazon ki iss tarah pabandi kare ke wuzu aur waqt ka ehtemaam kare, ruku aur sajdah acchi tarah kare, aur iss tarah namaaz parhne ko apne zimme Allah Ta'ala ka haq samjhe to is aadmi par jahannam ki aag haraam kar di jayegi.

# Musnad Ahmed. Hadees Number - 17882.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #462

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 152

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ To Meri yaad karo maiñ tumhara charcha karunga  aur Mera haq maano aur meri  na-shukri na karo.

▶ Tafseer
▶ Zikr teen tarah ka hota hai 1. Lisaani. 2. Qalbi. 3. Bil-jawareh.
▶ Zikre Lisaani Tasbeeh taqdees sana waghairah bayan karna hai khutba taubah istigfaar dua waghairah iss mein daakhil hai.
▶ Zikre Qalbi Allah Ta’ala ki Nea’mato ka yaad karna uski Azmat wa Qibriyaai aur uske Dalaile Qudrat mein gaur karna aulma ka istimbate masaeel mein gaur karna bhi isi mein daakhil hai.
▶ Zikre Bil-jawareh yeh hai ki aaza Ta’ate Ilahi mein mashgool ho jaise Hajj ke liye safar karna yeh zikre Bil-jawareh mein dakhli hai. Namaz teeno qism ke zikr par mushtamil hai tasbeeh wa takbeer sana wa qira’at to zikre lisaani hai aur Khushu’a wa Khujoo’a ikhlaas zikre qalbi aur qiyaam ruku wa sujood waghairah ka zikr bil-jawareh hai Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya Allah Ta’ala farmata hai tum Ta’at bajaa laa kar Mujhe yaad karo Maiñ tumhe imdad ke saath yaad karunga Sahiheen ki hadees mein hai ki Allah Ta’ala farmata hai agar Banda mujhe tanhaayi mein yaad karta hai to Maiñ bhi usko aise hi yaad farmata hu aur agar woh mujhe jama'at mein yaad karta hai to Maiñ usko usse behter jama'at mein yaad karta hu Quraan wa Hadees mein zikr ke bahot fazael waarid hai aur yeh har tarah ke zikr ko Shaamil hai, Zikr Bil-jaher ko bhi aur iqfa ko bhi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #462

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ Eid ul fitr ke din cha'nd khajoorein na kha lete Eidgaah ko na jaate aur aap taak (1,3,5) khajoorein khate.

Eidgaah jaane ke liye Nabi e Rehmat ﷺ ek raaste se jaate aur doosre raaste se aate they.

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

AAYI HAI EID
MUBARAK HO SABKO
EID KI SUNNAT KO
YAAD RAKHO

Maah e Ramzaan #462

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Nabi e kareem rauf o raheem ﷺ irshad farmate hai jab Eid-ul-Fitr ka din aata hai to farishte chauraaho par khade ho jaate hai aur nida dete hai.

“ Aye Musalmaano ki jamaat! Rabb e Kareem ki jaanib chalo jo khair se nawazta hai. Yakeenan tumhe raat ko ibadat karne ka hukm diya gaya to tumne ibadat ki aur roza rakhne ka hukm diya gaya toh tumne roze rakhe. Tumne apne Rabb ki itaa'at ki ab apne ina'maat haasil karlo. ”

Phir jabh log namaaz e eid ada karte hai to ek aawaz dene wala aawaz deta hai, “ Beshak tumhare parwardigaar ne tumhe baksh diya ab tum apne ghar laut jao iss haal mein ke tum hidaayat waale ho ke ye yaum al jaaza (inaam ka din) hai aur aasmaan mein iss din ko yaum ul jaza kaha jaata hai. ”

#Muaz'zam Al Kabeer Lil Tabraani. Hadees Shareef No- 616.



⏩ Ramazaan ul Mubarak ke aakhri jummah mein kuch log ba-jamaat Qazaa e Umri parhte hai aur samajte hai ke umar bhar ki Qazaa nNamaaze issi ek namaaz se adaa ho gayee ye batil mahaz hai, yani jhoothi baat hai. Haalañki yeh baat bhi galat hai aur Nafl namaz ki jamaat bhi nahi ho sakti wo Makrooh hai.
▶ Hazrat Mufti Ahmad yaar khan ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ farmate hai Alwada jummah ke baad wa Namaz Asr se pehle 12 rakat nafl 2-2 ki niyat se parhe har do rakat mein surah fatiha ke baad ek baar Ayatul Kursi aur 3 baar Surah Ikhlas parhe, ek baar Surah Falaq aur ek baar Surah Naas parhe.
▶ Iska fayda yeh hai ki jis kadar namazein kisi ne qazaa karke parhi hongi unke qazaa karne ka gunah In Sha Allah muaaf ho jayega. Ye nahi ke qaza namaazein iss se muaaf ho jaaengi balki woh to parhne se hi adaa hoñgi.

#Islami Zindagi.

▶ Lihaza phir ek baar gaur karey ke iss Nafl Namaz ki barkat se jo Namaz Qazaa huwi hai uska jo gunah huwa hai woh In Sha Allah Muaaf ho jaaega magar jo namaze Qazaa huwi hai woh muaaf nahi huwi hai, woh har soorat mein Qazaa kar ke Adaa karni hai.



fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #461

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 151.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jaisa humne tum mein bheja ek Rasool tum mein se.
2⃣ Ki tum par Hamari Aayate tilawat farmata hai aur TUMHE paak karta.
3⃣ Aur kitaab aur pukhta ilm sikhata hai aur tumhe wo taleem farmata hai jiska tumhe ilm na tha.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Sayyade Aalam ﷺ.
2⃣ Najasat shirk wa junoob se.
3⃣ Hiqmat se mufassireen ne fiqah muraad li hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #461

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Hazrat Ali رضي الله عنه ka Ilm.

▶ Saeed bin Musayyab farmate hai ke Sahaba ki jama'at mein Hazrat Ali رضي الله عنه ke siwa koi nahi jo yeh kahe ke jo kuch puchna hai mujhse puch lo. (kisi bhi masle mein kabhi bhi aapne la ilmi bekhabari ka izhaar nahi kiya.)
▶ Kisi faisle ke waqt Hazrat Ali رضي الله عنه na hote to Hazrat Umar رضي الله عنه Allah ﷻ ki panah mangte ke kahi koi galti na ho jaye.
▶ Ek baar Hazrat Umar رضي الله عنه ke paas ek aisi aurat layi gayi jiske peit mein zina ka hamal tha. Sharaai saboot ke baad sangsaar ka hukm diya, Hazrat Ali رضي الله عنه ne yaad dilaya ke Aaqa ﷺ farmate hai k haamela aurat ko baccha paida hone ke baad sangsaar kiya jaye ke aurat gunahgaar hai lekin peit ka baccha to be kasoor hai. Hazrat Umar رضي الله عنه ne fauran apne faisle se ruju kiya aur farmaya ke agar Ali na hote to Umar halak ho jata Ali ki hazri ne Umar ko bacha liya.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #461

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jisne koi aib (kharabi) wali cheez becha aur aib ko zaahir nahi kiya woh hamesha Allah ﷻ ke gazab mein rehta hai, aur Farishte uspar laanat karte hai.

# Ibne Majaa Hadees No, 2332.

Note -: Aam dino mein aur Ramazan Eid ke mauke par hamare jo Musalman bhai apna maal bechte hai unhe iss baat ka ba khoobi Ahtiyaat rakhna chahiye aur apna maal bechte waqt agar uss mein koi kharabi ho aur unhe woh pata ho to bechte waqt zaroor bata dena chhaiye.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

FARISHTE KI LAANAT
SE BACH KE RAHO
HAR PAL HAR KADAM PE
ALLAH ﷻ SE DARO

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #459

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Irshadat e Hazrat Ali رضي الله عنه
▶ Agar tum saari zindagi ke liye kisi ko dost rakhna chahte ho to apne dil mein ek qabr bhi bana lo taake uss mein tum apne dost ki galtiyañ dafan kar sako.
▶ Dost chahe jitna bhi bura ho jaye usse dosti mat torna kyuñki pani chahe jitna bhi ganda ho jaye aag bhujane ke kaam aata hai.
▶ Logoñ ke diloñ mein apna maqaam is tarah bana lo mar jaao to tumhare liye dua kare, Zinda raho toh milne ki justaju kare.
▶ Zindagi mein khud ko kabhi kisi insaan ka aadi mat banana kyuñki insaan bahot khudgarz hai, jabh aapko pasand karta hai toh aapki buraai bhool jaata hai aur jabh nafrat karta hai to aapki acchai bhool jaata hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Maah e Ramzaan #461

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla ~ Qaza e Umri ki niyat se Shab e Qadr ya akheer jummah e ramzan (Alwida jummah) mein jama'at se parhte hai aur yeh samajhte hai ke umr bhar ki qazaein ussi ek namaz se ada ho gayi, yeh baatil mahaz hai.

# Bahar E Shari'at, Jild 4, Safah 48.

Aaj kal social media par ek messsge bohat aam ho raha hai ke aakhiri jumma ko 4 rakat namaaz parhne se 700 saal ki namaaz qaza ho to bhi adaa ho jaaegi yeh mahez baatil hai uski koi haqeeqat nahi hai aur isse barhkar yeh jhoot baandhte hai ke yeh Hadees e Pak hai, mafoom e hadees e pak hai Huzoor ﷺ farmate hai jo mere naam se jhoot ko mansoob karey woh apna thikana jahannam mein talash karey. Jo log aisa message forward kiye hai unhein chaahiye ke tauba aur astagfaar karey, aur koi hamara bhai/behen aisa message forward karey to uski islaah farmaye.

جَــزَاك اللــه خَيــرَالْجــزَاء

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #460

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 151.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jaisa humne tum mein bheja ek Rasool tum mein se.
2⃣ Ki tum par Hamari Aayate tilawat farmata haiñ aur tumhare paak karta.
3⃣ Aur kitaab aur pukhta ilm sikhata hai aur tumhe wo taleem farmata haiñ jiska tumhe ilm na tha.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Sayyade Aalam ﷺ.
2⃣ Najasat shirk wa junoob se.
3⃣ Hiqmat se mufassireen ne fiqah muraad li hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #460

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Hazrat Ali رضي الله عنه ka Ilm
▶ Ilm ke aitbaar se bhi Hazrat Ali رضي الله عنه ka Aulma e Sahaba رضي الله عنهم  mein bohot uncha makaam rakhte hai.
▶ Aap ke faisle islaami malumaat ke anmol hire (daimond) hai.
▶ Ibne Abbas رضي الله عنه farmate hai ke humne jabh bhi Aapse kisi bhi masle mein sawal kiya bilkul sahi jawab paya.
▶ Sayyeda Ayesha رضی اللہ عنہا farmati hai ke Ali se zyada sharaai masaail janne wala koi nahi.
▶ Ibne Masood farmate hai ke Madina Tayyiba mein Ilme Faraaiz aur muqaddamaat (logoñ ke mu'amlaat) ke faisle karne mein Hazrat Ali رضي الله عنه se zyada ilm rakhne wala koi doosra nahi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #460

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs Imaan ke saath sawaab ki ummid se Roza rakhega to uske pichle gunaah bakhsh diye jaayege.

Aur jo shakhs Imaan ke saath sawaab ki niyyat se Ramzaan ki raaton mein ibadat karega to uske pichle gunaah bakhsh diye jayege.

Aur jo shakhs Imaan ke saath sawaab hasil karne ki garaz se Shab e Qadr mein ibadat karega uske pichle gunaah baksh diye jaaege. ”

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


DIL SE AUR IMAAN SE
ROZA RAKHA KARO
APNI HAR NIYYAT MEIN
KHUDA KA NAAM LO

Maah e Ramzaan #460

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla ~ Sadqa e Fitr har musalmaan aazad malik e nisab par (jiska nisab haajat e asliya ke alawa ho) uspar wajib hai. Sadqa e fitr ke liye aqil (aqal wala) baligh aur maal ka naami hona shart nahee, aur maal par ek saal guzarna bhi zaroori nahi.

#Durr e Mukhtar, Jild 3, safah 362

Sadqa e fitr waajib hai, iska waqt umr bhar hai. agar pehle nahee diya tha to ab de. Na dene se uska hukm saqit nahi hoga. Aur takheer se dega to qaza bhi nahi kehlayega, magar sunnat yeh hai ki Namaaz e Eid se pehle ada kare.

#Bahar-e-Shariat, Jild 5, Safah 935.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #459

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 150

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur aye Mehboob tum jahañ se aao apna Muñh masjide haraam ki taraf karo aur aye musalmano tum jahañ kahi ho apna muñh usi ki taraf karo ki logoñ ko tum par koi hujjat na rahe.
2⃣ Magar jo un mein naa isnaafi kare to unse na daro aur mujhse daro aur yeh isliye hai ki Maiñ apni nea’mat tum par poori karu aur kisi tarah tum hidayat paao.

▶ Tafseer
1⃣ Aur Kuffar ko ye ta’an karne ka mauka na mile ki unhone quraish ki mukhalafat mein Hazrate Ibrahim علیہ السلام wa Ismaeel علیہ السلام ka qibla bhi chhor diya Bawajood ki Nabi e Kareem ﷺ unki aulaad mein haiñ aur unki azmat wa buzurgi maante bhi hai.
2⃣ Aur barahe ainaad bejaa aitraaz kare.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #459

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ Maah e Ramzaan mein jisne nafl amal kiya woh uss shaks ki tarah hai jisne dusre mahino mein farz adaa kiya, aur jis shaks ne iss mahine mein ek farz adaa kiya aisa hai jaise dusre mahino mein 70 farz ada kiya. Aur yeh mahina sabr ka mahina hai.

#Baihaqi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


ALLAH ﷻ KI TARAF
APNE QADAM SE AAGE BARHO
IS SABR KE MAHINE MEIN
NAFL PARHA KARO

Maah e Ramzaan #459

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ, Agar mumkin ho to Salatul Tasbeeh roz ek martaba padhna. Agar roz padhna mumkin nahi toh har jummah ke din padhna. Agar har jummah ke din padhna mumkin na ho toh har mahine mein iss namaz ko padhna. Agar har mahine mein yeh namaz mumkin na ho toh iss namaz ko saal mein ek martaba padhna. Agar saal mein ek martaba padhna bhi mumkin na ho toh zindagi mein ek martaba isse zarur padhna.

#Abu Dawood Shareef. Jild 2 Safah 44-45.

https://fbcdn-sphotos-h-a.akamaihd.net/hphotos-ak-xpf1/t31.0-8/335911_10150903522070334_1239077798_o.jpg

Salat ul Tasbeeh kaise padhna hai uska tareeka aap iss link se haasil kar sakte hai.!

Shab e Qadr ankareeb hai tamaam members ko yeh babarkat shab mubarak ho. Iss khaas shab mein Kanzul Imaan team ko apni duaon mein zaroor yaad rakhna.!
جزاک الله خیر

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #458

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 147, 148 & 149.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ (Aye Sunne wale ) yeh Haq hai tere Rab ki taraf se ( ya Haq wahi hai jo tere Rab ki taraf se ho ) to khabardaar tu shak na karna aur Haq ke liye tawajjoh ki ek samt hai ki woh ussi ki taraf muñh karta hai to ye chaho ki nekiyo mein auroñ se aage nikal jaaye tum kahi ho Allah tum sab ko ikattah le aaye.
2⃣ Beshak Allah jo chahe kare aur jahan se aap apna muñh Masjide Haraam ki taraf karo aur woh zaroor tumhare Rab ki taraf se Haq hai aur Allah Kaamo se gaafil nahi.

▶ Tafseer
1⃣ Roz e Qayamat sabko jama farmayega aur Aamaal ka jazaa dega
2⃣ Yaani khwaah kisi shehair se safar ke liye niklo Namaz mein Apna munh Masjide Haraam ( Kaaba ) ki taraf karo.

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #458

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Sarkar e do Aalam Noor e Mujassam ﷺ Irshad farmate hai
▶ Mai Ilm ka sheher hu aur Ali uske darwaza hai.
▶ Mai Hikmat ka ghar hu aur Ali uske darwaza hai.
▶ Hasan o Hussain Jannati nawjawanon ke Sardaar hai aur in dono ke waalid ( Ali ) inse behtar hai.
▶ Munafiq Ali se muhabbat nahi karta aur momin unse bugz nahi rakhta.(yaani jis ke dil mai Hazrat Ali رضي الله عنه ke liye muhabbat hogi wo bugz nahi rakhega)
▶ Tamam Nabiyon ki zurriyat (nasab/awlaad) unki sulb mein hai aur Meri zurriyat Ali ibne abu talib ki sulb mein hai.
▶ Ali ko dekhna Ibadat hai

# Al Mustadrak.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #458

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e ibne maalik رضي الله عنه se riwayat hai jabh ramzaan ka mahina shuru huwa to Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya yeh mahina tum mein aaya hai aur ek raat ismein aisi hai jo hazaar mahino se afzal hai. Toh jo shakhs iski barkaton se mehroom raha woh tamaam bhalaaiyo se mehroom raha aur nahi mehroom rakha jaata iski bhalaaiyo se magar woh jo bilkul be naseeb ho.

#Ibne Maajah Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

IS MAHINE KI
EK KHAASIYAT HAI
JO LAATI HAI EK RAAT
IS RAAT KI AHEMIYAT KYA HAI
SUNLO HUZOOR ﷺ KI BAAT

Maah e Ramzaan #458

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah Ta'ala farmata hai, muttaqi woh hai ke Humne jo unhe diya hai usmein se humari raah mein kharch karte hai.

Aur jo kuch tum kharch karoge Allah ﷻ uski jagah aur dega aur woh behtar rozi dene wala hai.

# Bahar e Shari'at, Jild 5, Safah 2.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 457

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

〰 Contd Post #456.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 145 & 146

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur {Aye Sunne wale kase baashad (Sunne wala koi bhi ho)} agar tu unki khwahisho par chala baad iske ki tujhe Ilm mil chuka to us waqt to zarur sitamgaar hoga jinhe humne kitab ataa farmayi.
5⃣ Woh us Nabi ko aisa pehchaante hai jaise aadmi apne beto ko pahchanta hai.
6⃣ Aur beshak unme ek garoh jaan bujhkar Haq chhupate hai.

▶ Tafseer
4⃣ Yaani aulma e yahood wa nasara.
5⃣ Matlab yeh hai ki qutoobe saabika mein Nabi e Aakhiruz-zama Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ke Ausaaf aise waazeh aur saaf bayan kiye gaye hai jinse aulma e ahle kitaab ko Huzoor ﷺ ke khaatamul Ambiya hone mein kuch shak wa shubaha baaki nahi reh sakta aur wo Huzoor ﷺ ke us mansabe Aali ko atam yakeen ke saath jaante hai, ahbaar yahood mein se
Abdullah Bin Salaam musharraf ba-islam huwe to Hazrat Umar رضي الله عنه  ne unse dariyaft kiya Aayat Ya’arif –Nooh mein jo ma’arefat bayaan ki gayi hai uski kya shaan hai unhone farmaya ki Aye Umar! Maiñ Huzoor ﷺ ko dekha to be ishtebaah pehchan liya aur mera Huzoor ﷺ ko pehchanna apne beto ke pehchanne se badarjaha zyada atam wa akmal hai. Hazrate Umar رضي الله عنه ne farmaya yeh kaise unhone kaha maiñ gawahi deta hu ki Huzoor ﷺ Allah ki taraf se bheje Rasool hai unke ausaaf Allah Ta’ala ne hamari kitaab tauret mein bayan farmaye haiñ bete ki taraf se aisa Yakeen kis tarah ho aurato ka haal aisa qatayi kis tarah maloom ho sakta hai Hazrate Umar رضي الله عنه ne unka sar choom liya.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki gair mahal shahwat mein deen muhabbat se peshani chumna jaiz hai.
6⃣ Yaani Tauret wa Injeel mein jo Huzoor ﷺ ki naat wa sifa’at hai aulma e ahle kitaab ka ek garoh usko hasadan wa ainadan deeda wa danisht chhupata hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in/

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #457

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Tajdar e Madeena Rahat e Qalbo Seena Huzoor Ahmed e Mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ Irshaad farmaate haiñ,
▶ Jisne Meri itaa'at ki usne Allah ki itaa'at ki aur jisne meri nafarmani ki usne Allah ki nafarmani ki..
Aur jisne Ali ki itaa'at ki usne meri itaa'at ki aur jisne Ali ki nafarmani ki usne meri nafarmani ki.
⏩ Kuch Aqwaal O Irshadaat Maula e Kainaat رضي الله عنه ke,
▶ Khush akhlaqi (accha bartao) behtareen dost hai aur adab behtareen miraas (warsa) hai.
▶ Jahiloñ ki dosti se bacho ke bohot se aqalmandoñ ko jaahiloñ ne tabah kar diya jaahil matlab woh ke jo deeni islami malumaat se aur deeni ilm se mehroom hai.

#Al Mustadrak

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #457

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat  Ayesha  رضی اللہ عنہا ne farmaya ki maine Huzoor Mehboob e Khuda ﷺ se poocha ki Ya RasoolAllah ﷺ agar mujhe maloom ho jaaye shab e qadr kaunsi raat hai to main kya karu?

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne farmaya yeh dua parho.
"ALLAHUMMA INNAKA AFUWUN TUHIBBUL AFWA FAFUANNI."

Yaani "aye Allah ﷻ tu maaf farmane wala hai maaf karna tujhe pasnd hai tu mujhe maaf farma."

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


SHAB E QADR KI RAAT MEIN
IBADAT KARNA CHAHIYE
HUZOOR ﷺ KI DI HUWI DUA
IS RAAT MEIN PARHNA CHAHIYE

Maah e Ramzaan #457

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah Ta'ala Quran e Majeed Furqan e Hameed mein irshad farmata hai, "Aur kya hi behtar hai woh log jo namaaz parhne wale aur zakaat dene wale, Aur Allah par roz e qayamat par imaan rakhne wale hai, Yahi log hai jinhe hum bada ajr ataa karenge.

#Surah Nisa, Aayat 162.

Hazrat Abdullah Bin Masood رضي الله عنه se riwayat hai, farmate hai, Nabi e Kareem ﷺ ne humein Hukm diya, namaaz parhe, zakaat deiñ, jisne zakaat na di uski namaaz qubool nahi.

#Muslim Shareef, Jild 10, Safah103.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 145 & 146

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur agar tum un kitabiyon ke paas har nishani lekar aao woh tumhare Qibla ki pairweeh na karenge.
2⃣ Aur na tum unke Qibla ki pairweeh karo.
3⃣ Aur woh aapas mein bhi ek doosre ke Qibla ke tabe’a nahi.

▶ Tafseer
1⃣ kyuki Nishani usko naafe’a ho sakti hai jo kisi shubaha ki wajah se munkir ho yeh to hasad wa ainad se inkaar karte hai unhe isse kya nafaa hoga.
2⃣ Maana ye hai ki Qibla mansukh na hoga to abh ahle kitaab ko ye tama’a na rakhna chahiye ki Aap unme se kisi ke Qibla ki taraf rukh karenge.
3⃣ Har ek ka Qibla judaa hai yahood to sakhara e Baitul Muqaddas ko apna Qibla karaar dete hai aur nasara Baitul Muqaddas ke us makaane shaki ko jahan nafkhe Rooh Hazrat Masih waaqe huwa. ( #Fatah ).

〰〰 To Be Contd...

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 ▶ Huzoor ﷺ farmate haiñ jo Munafiq hai wo Ali Se muhabbat nahi karta aur jo Momin hai wo Ali se bugz o Adawaat nahi karta. (matlab Hazrat Ali رضي الله عنه se muhabbat momin hi karega aur Dushmani munafiq karega.)
▶ Jis ne Ali ko bura bhala kaha to goya usne mujhe bura bhala kaha aur Huzoor e Akdas ﷺ dua farmate haiñ 'Ya Ilaah'al Aalameen (aye Allah) jo bhi Ali se muhabbat rakhe tu bhi usse muhabbat rakh aur jo Ali se dushmani rakhe tu bhi usse dushmani rakh.'
Aur farmate hai jisne Ali se muhabbat ki usne mujhse muhabbat ki aur jisne mujhse muhabbat ki usne Allah ﷻ se muhabbat ki. (matlab Hazrat Ali رضي الله عنه se muhabbat Allah wa Rasool se muhabbat hai aur Hazrat Ali se dushmani rakhne wala Allah wa Rasool ka dushman)
▶ Jabh koi Aapko Abu Turaab keh kar pukarta to aap bade khush hote kyuki ye kunniyat Aap ko Sarkaar ﷺ ne ataa farmaayi thi.

# Tirmizi Shareef.
# Mishkaat Shareef.
# Tarikh ul Khulfa.
# Tibraani Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarwar e kaunain ﷺ irshad farmate haiñ mutakif (eitekaf mein baithne wala) gunaaho se bhi ruka rehta hai aur usko har qism ki nekiya (jinko wo anjaam nahi de paa raha hai) ka ajr o sawab milta hai.

#Ibne Majah Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

ALLAH ﷻ KI IBADAT MEIN
KUCH LAMHE GUZAAR LO
ISS KHUBSOORAT SUNNAT SE
APNI AAKHIRAT SAWAAR LO

Saturday, October 31, 2015

Maah e Ramzaan #456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Iss zamaane mein wahabi jo ki Allah ﷻ ki tauheen karta hai aur Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki shaan mein aaib nikalta hai. Jinko Makkah Mukarrama wa Madina Munawwara ke bade bade aalimo ne (Makkah shareef wa Madina shareef mein pehle sunniyo ki hukumat thi aaj wahan najdiyo ka qabza hai) bil-ittefak kaafir wa murtad kaha hai.

Agarche woh apne aapko musalmaan kahey. Unhe zakaat dena haraam hai. Aur sakth haraam hai aur agar di toh hargiz adaa na hogi.

#Bahar e Shari'at.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

~ Contd Post #454.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 144

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ To zarur hum tumhe phair deñge us qibla ki taraf jisme tumhari khushi hai abhi apna muñh phair do Masjid e Haraam ki taraf aur aye musalmano tum jahan kahi ho apna muñh usi ki taraf karo.
3⃣ Aur wo jinhe kitaab mili hai zaroor maante hai ki unke Rab ki taraf se haq Hai aur Allah unke kotako (bure kaamo) se be khabar nahi.

▶ Tafseer
2⃣ Isse Saabit huwa ki namaz mein ru ba-qibla hona farza hai.
3⃣ Kyuki unki kitabo mein Huzoor ﷺ ke ausaaf ke silsila mein ye bhi mazkoor tha ki Aap ﷺ baitul muqaddas se kaaba ki taraf phirenge aur unke Ambiya ne basharato ke saath Huzoor ﷺ ka yeh nishaan bataya tha ki Aap ﷺ Baitul Muqaddas aur Kaaba dono Qiblo ki taraf namaz parhenge.

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllahu Anhu #455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Hazrat Sahl bin Saad رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke ghar Hazrat e Fatima رضی اللہ عنہا ke pass tashreef le gaye the, Huzoor ﷺ pahuchte uss se pehle Hazrat Ali رضي الله عنه ghar se bahar tashreef le jaa kar masjid mein so gaye the.
▶Huzoor ﷺ ne Sayyeda Fatima رضی اللہ عنہا se farmaya "Tumhare Ibne Amm yaani Ali Murtuza kahañ hai?" Sayyeda  Fatima رضی اللہ عنہا ne arz kiya " Mere aur Unke darmiyan ranjish si ho gayi hai aur woh gusse mein bahar chale gaye hai."
▶ Iske baad Huzoor ﷺ ne kisi se farmaya ke dekho Ali kahaa hai to uss shakhs ne aakar arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه masjid mein aaram kar rahe hai. Huzoor ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke sirhane tashreef laaye aur unko pehlu par sota huwa dekh mulahiza farmaya. Unke pehlu par nishanaat padey huwe they aur unka badan khaak aluda hogaya tha.
▶ Iss par Huzoor ﷺ ne farmaya "Kum Abaa Turaab" yaani Abu Turab Utho. Aur ussi din se Maula e Kainaat رضي الله عنه ki kunniyat Abu Turab hogayi.

# Bukhari Shareef.
# Muslim Shareef.
# Madarijun Nabuwwat 2/136

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs Allah ﷻ ki raza ke liye ek din ka Eitekaf karta hai, Allah Ta'ala uske aur dozakh ke darmiyan 3 khandako ka faasla kar deta hai."

Har khandakh mashriq se magribh ke darmiyan faasle se zyada lambi hai.

#Tibrani Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

IN DUS DINO ME
YEH KHUBSOORAT SUNNAT NIBHAO
DOZAKH KI AAG SE DOORI
BARHATE HI JAAO

Maah e Ramzaan #455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah ﷻ Quran e Majeed Furqan e Hameed mein irshad farmata hai, Kuch asl neki yeh nahi ke mooñh mashrik ya maghrib ki taraf karo, haan asli neki ye hai ke imaan laye Allah aur qayamat aur farishto aur kitaab aur Paygambar par aur Allah ki mohabbat mein apna aziz maal dein.

Rishtedaro aur yateemo aur miskeeno raah-gir aur saailon ko, aur gardane chhurane mein aur namaaz qayim rakhhe aur zakaat dein.

Aur apna qaul poora karne wale jabh ahed karein aur sabr wale museebat, aur sakhti mein aur jihaad ke waqt, yahi hain jinhone apni baat sachhi ki aur yahi parhezgaar hai.

# Surah Baqrah, Aayat 117.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 144

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Hum dekh rahe hain baar baar tumhara Aasmaan ki taraf muñh karna.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Sayyade Aalam ﷺ ko kaaba ka banaya jana pasande khaatir tha aur Huzoor ﷺ is ummeed mein aasman ki taraf nazar farmate the us par ye Aayat Naazil huwi Aap ﷺ namaz hi mein kaaba ki taraf phir gaye musalmano ne bhi Aap ke saath usi taraf rukh kiya.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki Allah Ta’ala ko Aap ﷺ ki Raza manzoor hai aur Aap ﷺ hi ki khaatir Kaaba ko Qibla banaya gaya.

〰〰 To Be Contd..

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllahu Anhu #454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jabh khabar e Wiladat e Hazrat Ali رضي الله عنه Sarwar e Aalam ﷺ ko pahuchi to farmaya uska kya naam rakha.? Abu talib ne kaha maiñe uska naam Zaidar rakha hai aur uski maa ne asdar rakha hai.
▶ Huzoor ﷺ ne farmaya uss bacche ka naam Ali rakho jo Aali Himmat ki khabar de. Aapki walida ne arz ki Khuda ki kasam Mujhe gaib se aawaz aati thi ke fatima iska naam Ali rakho magar Maiñe iss baat ko chupaya tha.
▶ Wiladat ke baad Aapne apni aankhein nahi kholi tamaam haazireen ko laga jaise abu talib ke ghar na-beena baccha paida huwa hai poore makkah shehair mein yeh khabar phail gayi. Phir Nabi e Kareem ﷺ tashreef laaye aur Hazrat Ali ko apni godh mein liya, godh mein lete hi maula e kainaat ne apni aankhein kholi aur RasoolAllah ﷺ ke chehre mubarak ko dekh kar muskuraye.
▶ Abu yaa'ala ne hazrat Ali رضي الله عنه se riwayat ki hai ke unhone farmaya ki Huzoor ﷺ ne peer ke din Ailaan e Nabuwat kiya aur Maiñ peer hi ke din islam laaya. Islaam laane ke waqt aapki umr shareef kitni thi isme ikhtelaf hai. Allama Suyuti رحمۃ اللہ علیہ naql karte hai ke aapki umr 8 ya 10 saal thi.

# Awrak e Gamm 149.
# Madarijun Nabuwwat 2/917.
# Asmaau Rijaal Mishkaat 602.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in