Saturday, October 31, 2015

Maah e Ramzaan #456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Iss zamaane mein wahabi jo ki Allah ﷻ ki tauheen karta hai aur Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki shaan mein aaib nikalta hai. Jinko Makkah Mukarrama wa Madina Munawwara ke bade bade aalimo ne (Makkah shareef wa Madina shareef mein pehle sunniyo ki hukumat thi aaj wahan najdiyo ka qabza hai) bil-ittefak kaafir wa murtad kaha hai.

Agarche woh apne aapko musalmaan kahey. Unhe zakaat dena haraam hai. Aur sakth haraam hai aur agar di toh hargiz adaa na hogi.

#Bahar e Shari'at.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

~ Contd Post #454.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 144

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ To zarur hum tumhe phair deñge us qibla ki taraf jisme tumhari khushi hai abhi apna muñh phair do Masjid e Haraam ki taraf aur aye musalmano tum jahan kahi ho apna muñh usi ki taraf karo.
3⃣ Aur wo jinhe kitaab mili hai zaroor maante hai ki unke Rab ki taraf se haq Hai aur Allah unke kotako (bure kaamo) se be khabar nahi.

▶ Tafseer
2⃣ Isse Saabit huwa ki namaz mein ru ba-qibla hona farza hai.
3⃣ Kyuki unki kitabo mein Huzoor ﷺ ke ausaaf ke silsila mein ye bhi mazkoor tha ki Aap ﷺ baitul muqaddas se kaaba ki taraf phirenge aur unke Ambiya ne basharato ke saath Huzoor ﷺ ka yeh nishaan bataya tha ki Aap ﷺ Baitul Muqaddas aur Kaaba dono Qiblo ki taraf namaz parhenge.

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllahu Anhu #455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Hazrat Sahl bin Saad رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke ghar Hazrat e Fatima رضی اللہ عنہا ke pass tashreef le gaye the, Huzoor ﷺ pahuchte uss se pehle Hazrat Ali رضي الله عنه ghar se bahar tashreef le jaa kar masjid mein so gaye the.
▶Huzoor ﷺ ne Sayyeda Fatima رضی اللہ عنہا se farmaya "Tumhare Ibne Amm yaani Ali Murtuza kahañ hai?" Sayyeda  Fatima رضی اللہ عنہا ne arz kiya " Mere aur Unke darmiyan ranjish si ho gayi hai aur woh gusse mein bahar chale gaye hai."
▶ Iske baad Huzoor ﷺ ne kisi se farmaya ke dekho Ali kahaa hai to uss shakhs ne aakar arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه masjid mein aaram kar rahe hai. Huzoor ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke sirhane tashreef laaye aur unko pehlu par sota huwa dekh mulahiza farmaya. Unke pehlu par nishanaat padey huwe they aur unka badan khaak aluda hogaya tha.
▶ Iss par Huzoor ﷺ ne farmaya "Kum Abaa Turaab" yaani Abu Turab Utho. Aur ussi din se Maula e Kainaat رضي الله عنه ki kunniyat Abu Turab hogayi.

# Bukhari Shareef.
# Muslim Shareef.
# Madarijun Nabuwwat 2/136

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs Allah ﷻ ki raza ke liye ek din ka Eitekaf karta hai, Allah Ta'ala uske aur dozakh ke darmiyan 3 khandako ka faasla kar deta hai."

Har khandakh mashriq se magribh ke darmiyan faasle se zyada lambi hai.

#Tibrani Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

IN DUS DINO ME
YEH KHUBSOORAT SUNNAT NIBHAO
DOZAKH KI AAG SE DOORI
BARHATE HI JAAO

Maah e Ramzaan #455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah ﷻ Quran e Majeed Furqan e Hameed mein irshad farmata hai, Kuch asl neki yeh nahi ke mooñh mashrik ya maghrib ki taraf karo, haan asli neki ye hai ke imaan laye Allah aur qayamat aur farishto aur kitaab aur Paygambar par aur Allah ki mohabbat mein apna aziz maal dein.

Rishtedaro aur yateemo aur miskeeno raah-gir aur saailon ko, aur gardane chhurane mein aur namaaz qayim rakhhe aur zakaat dein.

Aur apna qaul poora karne wale jabh ahed karein aur sabr wale museebat, aur sakhti mein aur jihaad ke waqt, yahi hain jinhone apni baat sachhi ki aur yahi parhezgaar hai.

# Surah Baqrah, Aayat 117.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 144

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Hum dekh rahe hain baar baar tumhara Aasmaan ki taraf muñh karna.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Sayyade Aalam ﷺ ko kaaba ka banaya jana pasande khaatir tha aur Huzoor ﷺ is ummeed mein aasman ki taraf nazar farmate the us par ye Aayat Naazil huwi Aap ﷺ namaz hi mein kaaba ki taraf phir gaye musalmano ne bhi Aap ke saath usi taraf rukh kiya.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki Allah Ta’ala ko Aap ﷺ ki Raza manzoor hai aur Aap ﷺ hi ki khaatir Kaaba ko Qibla banaya gaya.

〰〰 To Be Contd..

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllahu Anhu #454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jabh khabar e Wiladat e Hazrat Ali رضي الله عنه Sarwar e Aalam ﷺ ko pahuchi to farmaya uska kya naam rakha.? Abu talib ne kaha maiñe uska naam Zaidar rakha hai aur uski maa ne asdar rakha hai.
▶ Huzoor ﷺ ne farmaya uss bacche ka naam Ali rakho jo Aali Himmat ki khabar de. Aapki walida ne arz ki Khuda ki kasam Mujhe gaib se aawaz aati thi ke fatima iska naam Ali rakho magar Maiñe iss baat ko chupaya tha.
▶ Wiladat ke baad Aapne apni aankhein nahi kholi tamaam haazireen ko laga jaise abu talib ke ghar na-beena baccha paida huwa hai poore makkah shehair mein yeh khabar phail gayi. Phir Nabi e Kareem ﷺ tashreef laaye aur Hazrat Ali ko apni godh mein liya, godh mein lete hi maula e kainaat ne apni aankhein kholi aur RasoolAllah ﷺ ke chehre mubarak ko dekh kar muskuraye.
▶ Abu yaa'ala ne hazrat Ali رضي الله عنه se riwayat ki hai ke unhone farmaya ki Huzoor ﷺ ne peer ke din Ailaan e Nabuwat kiya aur Maiñ peer hi ke din islam laaya. Islaam laane ke waqt aapki umr shareef kitni thi isme ikhtelaf hai. Allama Suyuti رحمۃ اللہ علیہ naql karte hai ke aapki umr 8 ya 10 saal thi.

# Awrak e Gamm 149.
# Madarijun Nabuwwat 2/917.
# Asmaau Rijaal Mishkaat 602.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Anas رضي الله عنه se riwayat hai ki Sarwar e Aalam ﷺ Maah e Ramzaan ke aakhiri 10 din mein eitekaf farmaya karte the aur ek saal eitekaf nahi farmaya to doosre saal 20 din ka eitekaf farmate.

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

AAKHRI DUS DIN AA RAHE HAI
APNE SAATH EK SUNNAT LAA RAHE HAI
DIL SE YE SUNNAT NIBHA LIJIYE
AUR ALLAH ﷻ KO RAAZI KIJIYE

Maah e Ramzaan #454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla ~ Qaza e Umri ki niyat se Shab e Qadr ya akheer jummah e ramzan (Alwida jummah) mein jama'at se parhte hai aur yeh samajhte hai ke umr bhar ki qazaein ussi ek namaz se ada ho gayi, yeh baatil mahaz hai.

# Bahar E Shari'at, Jild 4, Safah 48.

Aaj kal social media par ek messsge bohat aam ho raha hai ke aakhiri jumma ko 4 rakat namaaz parhne se 700 saal ki namaaz qaza ho to bhi adaa ho jaaegi yeh mahez baatil hai uski koi haqeeqat nahi hai aur isse barhkar yeh jhoot baandhte hai ke yeh Hadees e Pak hai, mafoom e hadees e pak hai Huzoor ﷺ farmate hai jo mere naam se jhoot ko mansoob karey woh apna thikana jahannam mein talash karey. Jo log aisa message forward kiye hai unhein chaahiye ke tauba aur astagfaar karey, aur koi hamara bhai/behen aisa message forward karey to uski islaah farmaye.

جَــزَاك اللــه خَيــرَالْجــزَاء

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 453

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 452.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Aur aye mehboob tum pehle jis Qibla par the Humne woh isi liye muqarrar kiya tha ki dekhe kaun Rasool ki pairweeh karta hai aur kaun ulte paanve paon fir jaata hai.
4⃣ Aur beshak ye bhaari thi magar un par Jinhe Allah ne hidayat ki aur Allah ki shaan nahi ki tumhara aqarat kare beshak Allah Aadmiyon par bahot meherban, meher  waala hai.

▶ Tafseer
3⃣  Sayyade Aalam ﷺ pehle Kaaba ki taraf Namaz parrhte the baad hijrat Baitul Muqaddas ki taraf Namaz parrhne ka hukm huwa 17 Maheene ke kareeb us taraf namaz parhi phir Kaaba Shareef ki taraf Muñh karne ka hukm huwa. Is tahweel ki ek yeh hikmat irshad huwi ki isse momin wa kaafir mein fark wa imtiyaz ho jayega chunanche aisa hi huwa.
4⃣ Shaane Nuzool Baitul muqaddas ki taraf namaz parhne ke Zamana mein jin sahaba ne wafaat paayi unke rishtedaaro ne tahweele Qibla ke baad unki Namazo ka hukm dariyaft kiya is par ye Aayate Kareema Naazil huwi aur itminan dilaya gaya ki unki Namaze zaaya nahi un par sawab milega.
▶ Fayeda- Namaz ko Imaan se taabeer farmaya gaya kyuki uski Adaa aur ba-jamaat parhna daleel e Imaan hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllaho Anhu #453

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Maula e kainaat Hazrat Ali e Murtuza رضي الله عنه ki wiladat Makkah Muazzama mein jumma ke din 13 Rajjab ke din huwi. Aapke walid ka naam Abu Talib aur waleda ka naam Fatima binte Asad hai.
▶ Aapki wiladat ka waqiya khud aapki walida yun bayaan karti hai ke "main khana e kaaba ke tawaaf mein mashgool thi 3 chakkar ho chuke the ke chauthe chakkar mein mujhe dard mehsoos huwa. Huzoor ﷺ ne mere chehre ke badlaav se mujhe pehchana aur farmaya! Kya baat hai jo aap ka rang badal raha hai? maine arz e haal kiya toh farmaya. Fatima tawaf pura karlo agar isi haal mein dard barh gaya jaaye toh andruni kaaba mein chali jaane ke ismein koi hikmat e ilahi hai."

# Nuzhatul Majalis 11/5.
# Madarijun Nabuwaat 2/917

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #453

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ Roza dozakh ki aag se hifazat ka zariya hai.

#Tirmizi Shareef

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

EK ZARIYA JO SABKO
DIKHATE HAI HUMARE NABI ﷺ
DOZAKH KI AAG SE
PAA LO HIFAZAT SABHI

Maah e Ramzaan #453

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Ibne katal woh munafiq hai jisko Fateh Makkah ke din iss haal mein qatl kiya gaya ke yeh Kaaba Shareef ke Gilaaf mein lapta huwa tha.

Zamaana e jahiliyat mein iska naam abdul ujjaah tha Sarwar e Kainaat ﷺ ne iska naam Abdullah rakhe baaz qaul ke mutabik Bilal. Baad mein yeh murtad hogaya aur ahle makkah se jaa mila.

Jabh Makkah Fateh huwa toh usne Khana Kaaba mein panaah li aur Gilaaf e Kaaba se lipat gaya.

Jiss waqt Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ tawaaf farma rahe they kisi Sahabi ne usse dekha aur arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ yeh ibne katal hai aur Gilaaf e Kaaba se lipta huwa hai.

Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate hai "Jahan ho qatl kardo" hukm ke mutabik usko wahi qatl kar diya gaya. Baaz riwayat mein hai ke uska khoon bhi Kaaba Shareef ki deewaron par gira.

# Madarijun Nabuwwat 2/494.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 452

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd post #451.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Aur ye Rasool tumhare nigahbaan wa gawah.

▶ Tafseer
2⃣ Ummat ko to RasoolAllah ﷺ ki ittela’a ke zariya se ahwale Umam wa tableege Ambiya ka Ilm Qatayi wa yakeeni haasil hai aur Rasoole Kareem ﷺ ba-karame Ilahi noore Nubuwwat se har shakhs ke haal aur uski hakeekate Imaan aur Aamale neik wa Bad aur Ikhlas wa nifaaq sab par Muttala’a hai.
▶ Masla- Isiliye Huzoor ﷺ ki shahadat duniya mein ba-hukme Shara’a Ummat ke haq mein maqbool hai yahi wajah hai ki Huzoor ﷺ ne Apne zamana ke hazireen ke muta’alliq jo kuch farmaya maslan Sahaba wa Azwaj wa Ahle Bait ke fazail wa manaqib ya gaayibo aur baad walo ke liye misl Hazrat Uwais wa Imaam Mehdi waghairah ke is par aiteqaad waajib hai.
▶ Masla- Har Nabi ko unki ummat ke aamal par muttala’a kiya jaata hai taaki Roze Qayamat shahadat de sake Chunki Hamare Nabi e Kareem ﷺ ki Shahadat aam hogi isliye Huzoor ﷺ  tamaam ummato ke ahwaal par muttala’a hai.
▶ Fayeda -  Yahañ Shaheed ba-maani muttala’a bhi ho sakta hai kyuki shahadat ka lafz Ilm wa Ittela’a se maana bhi aaya hai.

〰〰 to be contd..

fb.me/kanzul.imaan.group

Eitekaf ka Bayan # 452

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Eitekaf mustahab, Eitekaf waajib, aur Eitekaf sunnat e mo'akidah ke alawa jo Eitekaf kiya jaye woh mustahab hai.
▶Eitekaf mustahab ke waaste roza shart nahee ye thodi dair ka bhi ho sakta hai Masjid mein jab jab daakhil ho Eitekaf ki niyyat kar le chahe thodi hi dair masjid mein rehkar chala aaye.
▶ Jab chala jayega Eitekaf khatam ho jayega, niyyat mein sirf itna kaafi hai ki maine khuda ke waaste Eitekaf mustahab ki niyyat ki.
▶Mo'atakif (yaani Eitekaf karne wala) raat o din masjid mein hi rahe wahi khaaye piye soye in kaamo ke liye masjid se bahar hoga to Eitekaf toot jayega.
▶Mo'atakif (yaani Eitekaaf karne wala) na chup rahe na baat kare baaki Quran Shareef ki tilawat, Hadees ki karaat, aur Durood Shareef ki kasrat kare. ilme deen ka dars wa tadrees kare Ambiya wa auliya wa swaliheen ke halaat parhe ya deeni baate kare.

# Qanoon e Shari'at, Safah no. 218-219

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #452

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ Maah e Ramzaan mein jisne nafl amal kiya woh uss shaks ki tarah hai jisne dusre mahino mein farz adaa kiya, aur jis shaks ne iss mahine mein ek farz adaa kiya aisa hai jaise dusre mahino mein 70 farz adaa kiya. Aur yeh mahina sabr ka mahina hai.

#Baihaqi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

ALLAH ﷻ KI TARAF
APNE QADAM SE AAGE BARHO
IS SABR KE MAHINE MEIN
NAFL PARHA KARO

Maah e Ramzaan #452

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Fateh Makkah ke din Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne ahle makkah ko aam maafi dedi thi magar ek jamaat aisi thi jisko iss hukm se mustasna rakha gaya tha. Aur unke liye hukm huwa ke jahan paye jaaye qatl kar diye jaaye. In mein se baaz ke qatl hone ke baad unmein se kuch log Tauba wa Ruju aur Imaan ki badaulat maamun huwe aur qatl se nijaat paayi.

Chaar mard jinka qatl huwa ⏬
1 - Abdullah bin khatl.
2 - Haweras bin nakeed.
3 - Mukees bin sababa.
4 - Haris bin talatala.

Woh 7 mard jinhone tauba wa ruju kiya ⏬
1 - Abdullah bin abi sarj.
2 - Ikraam bin abi jahal.
3 - Safwan bin ummaiyah.
4 - Hibaar bin Aswad.
5 - Ka'ab bin zaahir.
6 - Wahshi bin harb.
7 - Abdullah bin jabari.

Woh aurtein jo fateh Makkah ke mauke par maamon rahi ⏬

1 - Hinda binte utbah jauza abu sufiyan. 2 - Kartana yeh ibne katal ki bandhi thi.

Sarah jo bani mutlib ki baandhi thi inke liye aulma mein ikhtelaf hai ke yeh maamon rahi ya inka qatl huwa.

Woh aurtein jo Fateh Makkah ke din qatl ki gayi ⏬

1 - Kareeba ibne katal ki bandhi.
2 - Arnab ibne katal ki bandhi.
3 - Umme saa'ad.

# Madarijun Nabuwwat 2/494-507.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 451

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur baat yuñ hai ki hum ne tumhe kiya sab ummato mein afzal ki tum logo par gawah ho.

▶ Tafseer
1⃣ Duniya wa Aakhirat mein.
▶ Masla- Duniya mein to yeh ki musalman ki shahadat momin kaafir sab ke haq mein shara’an motebar hai aur kaafir ki shahadat musalman par motebar nahi.
▶ Masla- Isse ye bhi maloom huwa ki is Ummat ka Ijma’a hujjat laazimul Qubool hai.
▶ Masla – Amwaat ke haq mein bhi iss Ummat ki shahadat motebar hai Rehmat wa Azaab ke farishte uske mutabiq amal karte hain sihah ki Hadees mein hai ki Sayyade Aalam ﷺ ke saamne ek janaza guzra sahaba ne uski taarif ke Huzoor ﷺ ne farmaya waajib huwi phir doosra janaza guzara sahaba ne uski burayi ki Huzoor ﷺ ne farmaya waajib huwi Hazrate Umar رضي الله عنه  ne dariyaaft kiya ki Huzoor Kya cheez waajib huwi farmaya pehle Janaza ki tumne taarif ki uske liye Jannat waajib hui aur doosre ki tumne burayi bayan ki uske liye Dozakh waajib huwi tum Zameen mein Allah ke shohda (gawah) ho phir Huzoor ﷺ ne ye Aayat tilawat farmayi.
▶ Masla- Ye tamaam Shahadate Sulha E Ummat aur Ahle Sidq ke saath khaas aur unke motebar hone ke liye zabaan ki Nigahdaasht shart hai jo log zabaan ki ehtiyaat nahi karte aur bejaa khilafe shara’a kalimaat unki zabaan se nikalte hai aur naa haq laanat karte hai Sihah ki Hadees mein hai ki roz e qayamat na wo Shafe’a honge na Shaahid is ummat ki ek shahadat yeh bhi hai ki aakhirat mein jab tamaam awwaleen wa aakhireen jamaa honge aur kuffar se farmaya jayega kya tumhare paas meri taraf se darane aur ahkaam pahuchane wale nahi aaye to woh inkaar karenge aur kahenge koi nahi aaya Hazraate Ambiya se dariyaft farmaya jaaega woh arz karenge ki ye jhoot hai Humne inhe tableeg ki is par unse iqamat Li Hujjat daleel talab ki jaayegi wo arz karenge ki ummate Muhammediya hamari shaahid hai yeh ummat Paigambaro ki shahadat degi ki in hazraat ne tableeg farmayi is par guzishta ummat ke kuffar kahenge unhe kya maloom hum se baad huwe the dariyaaft farmaya jayega tum kaise jaante ho ye arz karenge. Ya Rab tune Hamari taraf Apne Rasool Muhammed Mustafa ﷺ ko bheja Quraan paak naazil farmaya unke zariya se hum qatayi wa yaqeeni taur par jaante hain ki Hazraate Ambiya ne farz tableeg Alaa wajhil kamaal adaa kiya phir Sayyade Ambiya ﷺ se Aap ki ummat ki nisbat dariyaft farmaya jaaega Huzoor ﷺ unki tasdeeq farmayenge.
▶ Masla – Isse maloom huwa ki Ashiya e Ma’aroofa mein Shahadat tasamu’a ke saath bhi motebar hai yaani jin cheezo ka ilm yakeeni sunne se haasil ho us par bhi shahadat di jaa sakti hai.

〰〰 to be contd....
fb.me/kanzul.imaan.group

Eitekaf ka Bayan # 451

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Eitekaf sunnat e mo'akedah hai. yeh Ramzan ke aakhri ashre yaani aakhir ke 10 din mein kiye jaye yaani 20vi Ramazan ko suraj doobte waqt eitekaf ki niyyat se masjid mein maujood ho aur 30vi ko suraj doobne ke baad ya 29 ko chaand hone ke baad nikle.
▶ Agar 20vi tarikh ko baad namaz e maghrib Eitekaf ki niyyat ki toh sunnate mo'akidah adaa na huwi.
▶ Yeh Eitekaf sunnat e mo'akedah kifaya hai ki agar sab chhor de to sab pakde jaye aur ek ne bhi kar liya toh sab choot jaye.
▶ Iss Eitekaf mein bhi roza shart hai magar wahi Ramzan ke roze kafi hai.
▶ Eitekaaf ke liye agar Masjid mein parda lagaaye to kam se kam jagah ruke taaki namaziyon ko pareshaani naa ho
Sayyedi Aala Hazrat Azeemul Barkat رضي الله عنه farmate hai Masjid mein cheezein rakhi huwi hai jiski badaulat Namaz ki jagah rukti hai to yeh sakht na jaiz hai.

# Fatawa Razviya Shareef jild , 8 Safah , 97

▶Mo'atakif Masjid ko har kism ki Aaludgi aur gard o Gubar se bachaye, Masjid mein shor gul hasi mazak wageira hargiz na kare ki yeh Gunaah hai.

# Qanoon e Shari'at, Page no. 218

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #451

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam Noor e Mujassam ﷺ ne musalsal aur pai dar pai (yaani bagair iftaar kiye) roze rakhne se mana farmaya.

Sahaba e kiram arz karte hai Yaa RasoolAllah ﷺ aap to musalsal roze rakhte ho. Huzoor Nabi e kareem ﷺ irshad farmate haiñ tum mein se meri misl kaun hai? Maiñ raat iss haalat mein guzarta hu ke mera Rabb mujhe khilata bhi hai aur pilata bhi hai.

# Bukhari Shareef Hadees No- 263.
# Muslim Shareef Hadees No-  352.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


ROZE RAKHNE KI
ZAROORI BAATEIN YAAD RAKHO
HUZOOR KI DI HUWI NASEEHAT
PAR HAMESHA AMAL KARO

Maah e Ramzaan #451

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jabh Ramzaan aata hai to aasmaan ke darwaze khol diye jate hai, ek riwayat mein hai ke jannat ke darwaze khol diye jaate hai, ek riwayat mein hai ke rehmat ke darwaze khol diye jaate hai.

#Bukhari Shareef.

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ Sehri khaya karo kyuki sehri mein khane ke har luqme ke badle saañth (60) saal ki muqammal ibaadat ka sawab milta hai.

#Mishkaat Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tuesday, October 27, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 450

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 142

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Abh kahenge
2⃣ Bewakoof log , kisne pher diya Musalmano ko, unke us Qibla se jis par they.
3⃣ Tum farma do ki poorab paschim sab Allah hi ka hai jisse chahe sidhi raah chalaata hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat yahood ke haq mein naazil huwi jabh bajaye Baitul Muqaddas ke Kaaba Mu’azzama ko Qibla banaya gaya us par unhone ta’an kiye kyuki yeh unhe naa gawaar tha aur woh naskh ke qaeel na the ek qaul par yeh Aayat mushrikine makkah ke aur ek qaul par munafikeen ke haq mein naazil huwi aur ye bhi ho sakta hai ki isse kuffar ke yeh sab garoh muraad ho  kyuki ta’an wa tashni’a mein sab shareek the aur kuffar ke ta’an karne se qabl Quraan Pak mein uski khabar de dena gaibi khabaro mein se hai ta’an karne walo ko bewakoof isliye kaha gaya ki woh nihayat waazeh baat par mo’atareez huwe bawajood ki Ambiya e Saabikeen ne Nabi e Aakhiruz’zama ke khasaees mein Aapka laqab Zul-Qiblatain zikr farmaya aur tahweele Qibla uski daleel hai yeh woh Nabi hai jinki pehle Ambiya khabar dete aaye aise Raushan nishaan se fayeda na uthana aur mo’atariz hona kamale himakat hai.
2⃣ Qibla us zihat ko kehte hain jiski taraf Aadmi Namaz mein munh karta hai yahañ Qibla se muraad Baitul Muqaddas hai.
3⃣ Use ikhtiyaar hai jis chahe Qibla banaye kisi ko kya jaaye aiteraaz, bande ka kaam farmabardari hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Shaan e Hazrat e Aisha Siddiqa Radhiallahu 'anha #450

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Allah Subhan wa Ta'ala ne 17 ya 18 aayatien aapke daamane izzat ki baraat wa taharat aur jamaa'at munafiqeen ki majammat wa kahabasat mai nazil farmayi.
▶ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa رضي الله عنها ki umr shareef 18 saal ki thi uss waqt Huzoor ﷺ ne zahiri wisaal farmaya.
▶ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa رضي الله عنها ne baroz mangal 17 Ramzan san 58 hijri mein duniya se rahlat farmayi dusre qaul ke mutabik san 57 hijri ko.
▶ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa رضي الله عنها  ki namaze janaza Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه ne parhayi.
▶ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa رضي الله عنها ki wasiyat ke mutabik aapko Jannatul Baqi mein dafan kiya gaya.
▶ Aapki umr shareef 66 saal huwi.

# Madarij Jun Nabuwaah
# Khazainul Irfan
# Assdul gaaba

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #450

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai ki Huzoor Sarwar e Kainaat ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs roza rakh kar buri baat kehna aur uss par amal karna na chhore to Allah Rabbul izzat ko uski parwaah nahi ki usne khana peena chhor diya hai.

#Bukhari Shareef

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


ROZE MEIN HAR BAAT
SOCH SAMAJH KE KARO
DIL SE KARO YEH FARZ ADAA
ALLAH ﷻ KO RAAZI KARO

Maah e Ramzaan #450

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ki Aayat aur Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Al Quran.

وَلَقَدْ نَصَرَكُمُ اللَّهُ بِبَدْرٍ وَأَنْتُمْ أَذِلَّةٌ ۖ فَاتَّقُوا اللَّهَ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُون
إِذْ تَقُولُ لِلْمُؤْمِنِينَ أَلَنْ يَكْفِيَكُمْ أَنْ يُمِدَّكُمْ رَبُّكُمْ بِثَلَاثَةِ آلَافٍ مِنَ الْمَلَائِكَةِ مُنْزَلِين
بَلَىٰ ۚ إِنْ تَصْبِرُوا وَتَتَّقُوا وَيَأْتُوكُمْ مِنْ فَوْرِهِمْ هَٰذَا يُمْدِدْكُمْ رَبُّكُمْ بِخَمْسَةِ آلَافٍ مِنَ الْمَلَائِكَةِ مُسَوِّمِينََ

Tarjuma

Aur beshak Allah ne badr mein tumhari madad ki jab tum bilkul be saro samaan the. To Allah se daro kahin tum shukr guzaar ho.
Jab Aye Mehboob tum musalmaano se farmaate the kya tumhein yeh kaafi nahee ke tumhara Rab tumhaari madad kare teen hazaar Farishte utaar kar.
Haan kyu nahee agar tum Sabr o Taqwa karo aur kafir ussi dam tum par aa parein to tumhara Rab tumhaari madad ko paanch hazaar Farishte nishaan waale bhejega..

#Surah Al Imran, Aayat 123-125.

Aaj 17 Ramzaan ul Mubarak hai. Gazwa e badr Islam ki pehli jung aaj hi ke din huwi thi aur Musalmaan kaafiron se jung kar fateh mubeen paaye they. Tamaami musalmaano se guzarish hai ke khoob Isale Sawab karey. Aur shohda e badr ke wasile tamaam musalmaano ko apni duaon mein yaad rakhein.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 449

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 141

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Wo ek garoh hai ki guzar gaya unke liye unki kamayi aur tumhare liye tumhari kamayi aur unke kaamo ki tumse pursish na hogi.

▶ Tafseer
▶  Yeh yahood ka haal hai jinhone Allah Ta’ala ki Shahadte Chhupayi jo Tauret mein mazkoor thi ki Muhammed Mustafa ﷺ uske Nabi haiñ aur unke yeh Naat wa Sifaat hai aur Hazrate Ibraheem عليه السلام Musalmaan hai aur Deen e Maqbool Islaam hai na yahoodiyat na nasraniyat

◀ الحمد لله رب العالمين
Pehla Paara Muqammal Huwa.

fb.me/kanzul.imaan.group

Shaan e Hazrat e Aisha Siddiqa Radhiallahu 'anha #449

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶10 Nabwi mein Aapka nikaah huwa uss waqt aapki umr 6 ya 7 saal ki thi aur Huzoor ﷺ ki umr sharif 50 saal ki thi.
▶ Aap Huzoor ﷺ ki sohbat wa ma'aashraat mein 9 saal rahi.
 Ummul Momineen
Hazrate Aisha Siddiqa رضي الله عنها ka nikaah Hazrat e Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه ne karaya tha.
▶ Aapka maher 400 dirham muqarrar huwa.
▶ Ummul Momineen
Hazrate Aisha Siddiqa رضي الله عنها walime ke baare mein khud farmati hai koi ooñt ya bakri zibah karke walime ka khaana tayyar na huwa balki ek pyaala doodh jo Saad Bin Ubada رضي الله عنه ke ghar se aaya huwa tha wahi walima tha.
▶ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa رضي الله عنها ki rukhsati pehli san hijri mein 9 mahine baad shawwal mein huwi uss waqt Hazrate Aisha Siddiqa رضي الله عنها ki umr 9 saal ki thi. Doosri riwayat ke mutabik 2 hijri mein aathwe (8th) mahine ki aakhir mein huwi.

# Madarijun Nabuwaah
# Seerat ibne Hashim

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #449

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Jundab Bin Abdullah رضي الله عنه se marwi hai ke RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ Quran ko us waqt tak parho jabh tak tumhare dil ko ulfat (mohabbat) aur lagaaw ho, aur jab dil uchaat (Dil na lage) ho jaaye khare ho jao yaani tilawat bandh kar do.”

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

QURAN KI TILAWAT KO
AAGE BARHAIYE
JAANO KE TILAWAT
KAB TAK KARNI CHAHIYE

Maah e Ramzaan #449

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Gazwa e Badr Islam ki pehli jung hai jo Musalmaano aur kaafiro ke darmiyan ladi gayi thi.

Iss jung mein Musalmaano ki Tadaad 313 thi aur kaafiroñ ka lashkar 1000 ka tha jis mein bade bade kuffar e quraish bhi saath they.

Gazwa e badr ke liye Huzoor Nabi e Kareem ﷺ hijrat ke 19we mahine mein maah e ramzaan ul mubarak mein rawaana huwe they.

# Madarijun Nabuwwat.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 448

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No.  140

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Balki tum to yuñ kehte ho ki Ibrahim wa Ismaeel wa Is’haaq wa Yakub aur unke bete yahoodi ya nasraani the tum farmao kya tumhe Ilm xyada hai ya Allah ko.
2⃣ Aur usse badhkar zaalim kaun jiske paas Allah ki taraf ki gawahi ho aur wo use chhupaye  aur Khuda tumhare kotako se be-khabar nahi.

▶ Tafseer
1⃣ Usike liye karte hai to hum mustahiqe ikraaam hai.
2⃣ Iska qatayi jawab yahi hai ki Allah hi A’alam hai to usne farmaya tumhara yeh qaul baatil huwa.

fb.me/kanzul.imaan.group

Shaan e Hazrat e Aisha Siddiqa Radi Allahu Ta'ala Anha # 448

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha farmaya karti thi ki mujhe tamaam ummahatul momineen par kuch aisi fazilate hasil hai jo kisi aur azwaaje mutaharaat ko hasil nahi hui

☆Maslan ~

▶Huzoor ﷺ ne mere siwa kisi kunwaari se shaadi nahee farmayi.
▶Isse pehle ki Huzoor ﷺ mere nikaah ka payaam de Jibrael Alaihissalam ne reshmi kapde par meri soorat Huzoor ﷺ ko dikha di aur kaha ki yeh aapki zauja mutahhira  hai. Isi tarah aap 3 raate khawaab mein mujhe mulahiza farmate rahe.
▶ Mere siwa azwaaj mein se koi bhi aisi nahi jinke Maa-Baap dono muhajir ho.
▶ Allah ﷻ ne meri baraat wa taharat ka bayaan aasman se Quraan Paak mein naazil farmaya.
▶ Huzoor ﷺ namaz e tahhajud adaa farmate aur mein aapke aage sidhi letey rehti thi aur yeh sulook mere saat hi khaas tha.
▶ Mai aur Huzoor ﷺ ek hee bartan se paani le lekar gusl kiya karte the. Yeh sharf kisi aur azwaaj ko hasil nahi.
▶Kisi zauja mutahira ke jamaye khawaab mein
Huzoor ﷺ par wahee nahi aayi siwaye mere jamaye khawaab ke.
▶Huzoor ﷺ ne mere hi ghar mein bimari ka zamana guzara aur meri hi baari ke din aapki Rooh Muqaddas kabz ki gayi.
▶Huzoor ﷺ ki iss haal mein Rooh kabz huwi ki aap mere seene aur chaati par aaram farma rahe the.
▶Aur Huzoor ﷺ mere hujre mein hi madafan huwe.

#Madaarijun Nabbuwah 2/802 - 804

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #448

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abdullah Ibn e Masood رضي الله عنه se riwayat hai RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs Quraan e Majeed ka ek harf parhega usko ek neki milegi jo dus ke baraabar hogi. Maiñ yeh nahi kehta ke Alif Laam Meem ek harf hai, balke Alif ek harf Laam doosra harf aur Meem teesra harf. "

#Tirmizi Shareef.

سُــــبْحانَ الله
Allah ki Rahmaten apne bando Ko Kis tarah nawaazti hai ke ek Harf e Quraan parhne ke badle 10 nekiyaan aur Ramzaan ul Mubaarak mein ek neki ka sawaab be panaah nekiyo ke baraabar aur phir Jumuah ke din ka kya kehna ke is mein bhi Nekiyo ke darajaat barhaa diye jaate hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blog

HAR EK HARF AUR LAFZ
KITNI REHMAT LAATI HAI
QURAN E PAAK PARHNE SE
KITNI BARKAT AATI HAI

Maah e Ramzaan #448

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Kab bin Ajrah رضي الله عنه se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne humein irshad Farmaya, Mimbar ke paas Jamaa ho jao, hum sab jamaa ho gaye, Huzoor ﷺ ne jab Mimbar ki pehle seedi (step) par qadam rakha to farmaya: "Aameen"

Doosri seedi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Jab Teesri seedi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Sahaba ne arz kiya Ya RasoolAllah! ﷺ Aaj humne Aapse aisi baat suni hai jo pehle kabhi nahi suni, RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya Mere paas Jibraeel علیہ السلام aaye the.

Jab Maiñe pehli seedi par qadam rakha to unhone kaha halaak o barbaad ho jaye wo shaks jo Ramzaan ul Mubarak ka mahina paye phir bhi us ki bakhshish na ho Maiñe kaha 'Aameen'

Jab Maiñe doosri seedi par qadam rakha to unhone kaha halaak o barbad ho jaye wo shakhs jiske saamne Aapka Naam e Mubarak liya jaye aur wo Aap ki khidmat Aqdas mein Darood Shareef na bheje, Maiñe kaha 'Aameen'

Jab Maiñe Teesri seedi par qadam rakha to unhone kaha halaak o barbaad ho jaye wo shakhs jo apne waldain ko budhape ki halat mein paye lekin woh (unki khidmat karke) Jannat mein daakhil na ho, Maiñe kaha 'Aameen'

#Mustadrak Al Hakim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blog

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 447

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 138 & 139

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Humne Allah ki Raini ( Rangai ) li.
2⃣ Aur Allah se behtar kiski Raini( Rangai) aur hum usiko poojte hai aur tum farmaao kya Allah ke baare mein jhagadte ho.
3⃣ Halañki woh hamara bhi maalik hai aur tumhara bhi.
4⃣ Aur hamari karni hamare saath aur tumhari karni tumhare saath aur hum nire usike hai.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani jis tarah rang kapde ke zaahir wa baatin mein nufooz karta hain ussi tarah deeni rang zaahiri rang nahi jo kuch fayeda na de balki ye nufoos ko paak karta hai zaahir hai uske aasar auza’a wa Af’aal se namudaar hote hai. nasara jabh apne deen mein kisi ko daakhil karte ya unke yahañ koi baccha paida hota to paani mein zard rang daal kar usme us shakhs ya baccha ko gotaa dete aur kehte ki abh yeh sachha nasraani huwa uska yeh Aayat mein radd famaya ki ye zahiri rang kisi kaam ka nahi.
2⃣ Shaane Nuzool yahood ne musalmano se kaha hum pehli kitaab wale hai hamara qibla purana hai hamara deen qadeem hai. Ambiya hum mein se huwe hai agar Sayyade Aalam ﷺ Nabi hote to hum mein se hi hote iss par ye Aayat naazil huwi.
3⃣ Use Ikhtiyaar hai ki apne bando mein se jise chahe Nabi banaye arab mein se ho yaa doosre mein se.
4⃣ Kisi doosre ko Allah ke saath shareek nahi karte aur Ibadat wa ta’at khaalis hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Roza Todne Wali Cheezoñ Ka Bayan # 447

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Daato se khoon nikal kar halak se niche utra aur khoon thuk se zyada ya barabar tha ya kam tha magar uska maza halak mein malum huwa toh inn sab soorton mein roza jaata raha aur agar khoon kam tha aur maza bhi malum na huwa toh roza na gaya.
▶Naak mein dawai chadai ya kaan mai tel daala ya tel chala gaya toh roza tutt gaya aur agar paani kaan mein chala gaya ya daala toh roza nahi tutta.
▶Kulli kar raha tha bila kasd paani halak se utar gaya ya naak mai paani chada raha tha paani dimaag mai chad gaya toh roza tutt gaya lekin agar roza hona bhul gaya ho toh nahee tuttega.

# Qanoon e Shariat Page no 203.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #447

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat salma ibne muhabbak رضي الله عنها se riwayat hai, Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jiss shakhs ke pass aisi sawari ho jo araam se manzil tak pahucha deiñ toh usko chahiye ki roze rakhe jahaa bhi ramzaan aa jaaye.

#Abu Dawood Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

SAFAR MEIN ROZA
RAKHNA HAI SAHI
PARH LO HADEES IS PAR
HOJAYE NA GALTI KAHI

Maah e Ramzaan #447

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ, roza rakhne ke liye sehri khaa kar quwwat haasil karo aur dophair ko araam karke raat ko ibadat karne ke liye taaqat haasil karo.

#Ibne Majah Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 446

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 136 & 137

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Yuñ Kaho ki hum Imaan laye Allah par aur us par jo hamari taraf utara aur jo utaara gaya Ibrahim wa Ismaeel wa Is’haaq wa Yakoob aur unki aulad par aur jo Ataa kiye gaye Moosa wa Isaa aur jo ataa kiye gaye baaki Ambiya apne Rab ke paas se hum unmein kisi par Imaan mein Fark nahi karte aur hum Allah ke huzoor gardan rakhe hai phir agar woh bhi yuñ hi Imaan laaye jaisa tum laaye jabh to woh Hidayat paa gaye aur agar muñh fere to wo niri zidd mein hai.
2⃣ To Aye Mehboob ankareeb Allah unki taraf mein tumhe kifayat karega aur wohi hai sunta jaanta.

▶ Tafseer
1⃣ Aur unme talbe haq ka shaeeba bhi nahi.
2⃣ Ye Allah ki taraf se zimma hai ki woh Apne Habeeb ﷺ ko galaba ataa farmayega aur isme gaib ki khabar hai ki aayinda haasil hone wali fatah wa zafar ka pehle se izhaar farmaya isme Nabi ﷺ ka maujeza hai ki Allah Ta’ala ka yeh zimma poora hai aur yeh Gaibi khabar saadiq ho kar rahi Kuffar ke Hasad wa Ainaad aur unke Makaeed ( Fareboñ ) se Huzoor ﷺ ko zarar naa pahucha Huzoor ﷺ ki fatah huwi bani kuraija qatl huwe bani nuzair jalaa waran kiye gaye yahood wa nasaar ka jizyaa muqarrar huwa.

fb.me/kanzul.imaan.group

Roza Todne Wali Cheezoñ Ka Bayan # 446

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Khaane ya peene se roza tut jaata hai jabki rozedaar hona yaad ho, aur agar rozedaar hona yaad na raha aur bhool kar kha liya pee liya to roza naa gaya
▶Hukka, cigarette, bidi, cigar peene se roza tut jaata hai.
▶Paan ya tambaaku khaane se bhi roza tut jaata hai agarche khaa kar thuk hi diya ho
▶Daanto mein koi chiz chane barabar ya is se ziada thi use kha gaya ya kam hi thi magar moonh se nikaal kar fir khaa li to roza tut gaya.

# Qanoon e Shari'at, safah no. 203

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #446

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Dawood ne Hazrat e Muaz  رضي الله عنه se riwayat ki, ke Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ, jisne Quraan Parha aur jo kuch us mein hai us par amal kiya us ke walidain ko Qayamat ke din Taaj pehnaya jaaega, jiski raushni sooraj se acchi hai.

#Abu Dawood.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

QURAAN E PAAK KI AHMIYAT
KYA HAI PARHIYE SABHI
USPAR KARO AMAL
KEHTE HAI HUMARE NABI ﷺ

Maah e Ramzaan #446

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai, RasoolAllah ﷺ irshad farmate hai, jo imaan ki wajah se aur sawaab ke liye ramzaan ka roza rakhega uske gunah baksh diye jaaeñge aur jo imaan aur sawab ki niyyat se ramzaan ki raatoñ ko qayaam karega (Ibadat karega) uske agle ( Yaani pichle ) gunah maaf kiye jayenge.

#Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 445

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 135

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jo kitabi bole
2⃣ Yahoodi ya nasrani ho jaao raah paoge tum farmaao balki hum to Ibrahim ka deen lete hai jo har baatil se jooda the aur mushriko se na the

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya ki yeh Aayat ru’asaye yahood aur nazraan ke nasraaniyon ke jawab mein naazil huwi yahoodiyon ne to musalmano se yeh kaha tha ki Hazrate Moosa عليه السلام tamaam Ambiya mein sabse Afzal hai aur tauret tamaam kitaabo mein Afzal hai aur yahoodi deen tamaam adiyaan se aala hai iske saath unhone Sayyade Qayinat Muhammed  Mustafa ﷺ aur Injeel Shareef wa Quraan Shareef ke saath kufr karke Musalmano se kaha tha ki yahoodi ban jaao issi tarah nasraniyon ne bhi apne hi deen ko haq bata kar Musalmano se nasraani hone ko kaha tha is par yeh Aayat naazil huwi.
2⃣ Iss mein yahood wa nasaara par ta’areez hai ki tum mushriq ho isliye Millate Ibraheem par hone ka daawa jo tum karte ho woh baatil hai iske baad musalmano ko khitab farmaya jaata hai ki woh un yahood wa nasaara ye keh de Quloo Aamanna #Al-Aayat.

fb.me/kanzul.imaan.group

Roza Todne Wali Cheezoñ Ka Bayaan # 445

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Kaan mein paani gaya toh roza na toota.
▶Geebat ki toh roza na toota agarche geebat bohot sakht kabeera gunah hai Quraan Shareef mein geebat ke baare mein farmaya gaya jaise apne murda bhai ka ghost khaana aur Hadees mein aaya ki geebat zina se badhkar hai geebat ki wajah se roze ki nooranniyat jaati rehti hai.
▶Ehtelaam ho gaya toh roza na toota.

#Qanoon e Shari'at safah no. 208-209

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #445

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

RasoolAllah ﷺ irshad farmate hai jo shakhs bagair uzr ke ramzaan ka ek roza bhi chhor de to saari umr ke nafl roze bhi uski talafi na kar sakege.

#Musnad Imam Ahmed.

Yaani agar farz roza kisi ne bagair kisi sharai uzr ke chhora to tamaam umr bhi roza rakh kar uss ek farz roze ka sawaab haasil karna chahe to haasil nahi kar sakta.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

RAMAZAN KA ROZA
BINA WAJAH MAT TORO
ISKA ANJAAM JAANKE
KOI ROZA MAT CHHORO

Maah e Ramzaan #445

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ kisi Sahabi ko sehri khane ke liye bulate toh farmate, chalo barkat ka khana khalo.

#Abu Dawood Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 444

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 134

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Ye
2⃣ Ek ummat hai ki guzar chunki unke liye hai jo unhone kamaya aur tumhare liye hai tum kamaao aur unke kaamo ki tum se pursish na hogi.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Hazrate Ibrahim wa Yakub عليه السلام aur unki Musalman Aulaad.
2⃣ Aye yahood tum unpar bohtaan mat uthao.

fb.me/kanzul.imaan.group

Unn chizo ka Bayaan Jinse Roza nahi tut ta # 444

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Bhool kar khaaya ya piya toh roza nahee tutega.
▶ Makhi ya dhuwa halak mai jaane se roza nahee tutega, lekin agar qasdan khud dhuwa pahonchaya to roza tut jayega jabki rozadaar hona yaad ho. Maslan dhuwnai, agarbatti, lobaan wagaira ko moonh ke kareeb karke dhuwe ko naak se khincha to roza jaata raha.
▶ Baat karne me thuk se honth tar ho gaye aur use pee gaya to roza nahee tutega, magar in baato se ehtiyaat chahiye.
▶ Daant se khoon nikal kar halak tak pahoncha magar halak se niche na utra to roza nahee tutega.
▶ Kaan me paani chala gaya to roza nahee tutega.

# Qanoon e Shari'at, safah No. 207-208

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #444

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat  Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai ke RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs sone (gold) ya chandi (silver) ki sharai nisaab ka maalik ho aur woh uska haq yaani zakaat na adaa karey to qayamat ke din uske liye uss sone aur chandi ki seeley banayi jaaegi.

Aur unhein aag mein tapaya jaaega, phir un seelon se unki karwat, maatha aur peeth ko daaga jaega, aur jabh woh thandi ho jaaegi  to phir jahannam ki aag mein garmaa kar daaga jaaega, aur hamesha iss tarah hota rahega.

#Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

JAHANNAM KI AAG SE
BACH KE RAHO
ZAKAAT EK FARZ HAI
USSE ADA KIYA KARO

Maah e Ramzaan #444

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla ~ Gusl waajib tha isi haalat mein sehri kar ke roza rakha to roza ho gaya. Magar sara din isi haalat mein guzarna ki Namaze bhi qaza ho to gunaah o haraam hai.

# Bahar e Shari'at Jild 5, Safah 984.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 443

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 131 , 132 & 133

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jabh ki usse uske Rab ne farmaya gardan rakh arz ki maiñe gardan rakhi uske liye jo Rab hai saare jahan ka. Aur ussi deen ki wasiyat ki Ibrahim ne apne betoñ ko aur Yakub ne ki Aye mere Betoñ ! Beshaq Allah ne yeh deen tumhare liye chun liya to na marna magar, musalman! Balki tum mein ke khud maujood the.
2⃣ Jabh jo khuda hai Aapka aur Aap ke Walid Ibrahim wa Ismaeel wa Is’haaq ka ek Khuda aur hum uske huzoor gardan rakhe hai.

▶ Tafseer
1⃣  Shaane Nuzool ye aayat yahood ke haq mein naazil huwi unhone kaha tha ki Hazrate Yakub عليه السلام ne apni wafaat ke roz apni aulaad ko yahoodi rehne ki wasiyat ki thi Allah Ta’ala ne unke is bohtan ke radd mein ye aayat naazil farmayi. (# Khazin ) maana yeh hai ki aye bani israeel tumhare pehle log Hazrate Yakub عليه السلام ke aakhir waqt unke paas maujood the jiss waqt unhone Apne betoñ ko bula kar unse Islam wa Tauheed ka iqraar liya tha aur yeh iqraar liya tha jo Aayat mein mazkoor hai.
2⃣ Hazrate Ismaeel عليه السلام ko Hazrat Yakub عليه السلام ke aaba mein dakhil karna to isliye hai ki aap unke chacha hai aur chacha ba-manzil e baap ke hota hai jaisa ki Hadees Shareef mein hai aur Aap ka naam Hazrat Is’haaq عليه السلام se pehle zikr farmana do wajah se hai ek to yeh ki Aap Hazrate Is’haaq عليه السلام se 14 saal bade hai doosri isliye ki Aap Sayyade Aalam ﷺ ke Jadd hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Roze Ke Makruhaat ka Bayan # 443

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Gulaab ya mushk wagaira sunghna, darhi muchh me tel lagana aur surma lagana makhrooh nahee
▶Rozadaro ke liye kulli karne aur naak me paani charhane mai mubaalga karna (bhar moonh paani lena) makhrooh hai.
▶Wazu wa gusl ke alawa thand pohuchaane ki garaz se kulli karna ya naak me paani charana ya thand ke liye nahana balki badan par geela kapda lapetna makhrooh nahee, Haan agar pareshaani zahir karne ke liye geela kapda lapeta to makhrooh hai iss liye ki ibadat mai dil tang hona achhi baat nahee.
▶Moonh me thook ekthha karke nigal jaana begair roze ke bhi acha nahee aur roze mein to yeh makhrooh hai.

# Qanoon e Shari'at, safah no. 210

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #443

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Ibne Umar رضي الله عنه riwayat farmate hai Allah Ke Nabi ﷺ ne irshad farmaya jo shakhs maal haasil karey toh uss par uss waqt tak Zakaat nahee jab tak ki uss par ek saal na guzar jaaye.

# Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

MAAL JAB HASIL KARO
ZAKAT UNPAR TUM ADA KARO
ZAKAT KA WAQT YAAD RAKHIYE
HUZOORﷺ KE FARMAAN PAR DHYAN DIJIYE

Maah e Ramzaan #443

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ramazan ki har shaam ko suraj ke guroob hone ke waqt Allah Ta'ala 60000 gunehgaroñ ko jahannam se aazad karta hai. Aur Eid ke roz Allah Ta'ala itne logoñ ki bakhshish karta hai jitne usne poore mahine bhar mein kiye.

#Baihaqi, Shu'ab al-Iman Jild 5, Safah No 221 Hadees No 3334.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 442

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 130

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Ibrahim ke deen se kaun muñh fere
2⃣ Siwa uske jo dil ka ahmak hai beshak zaroor humne duniya mein ussey chun liya.
3⃣ Aur beshak wo aakhirat mein hamare khaas qurb ki qubooliyat waloñ mein hai.

Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool aulma e yahood mein se Hazrate Abdullah Bin Salaam ne islaam lane ke baad apne do bhatijo Muhajeer wa Salma ko Islam ki dawat di aur unse farmaya ki tumko maloom hai ki Allah Ta’ala ne Tauret mein farmaya hain ki Maiñ Aulade Ismail se ek Nabi paidah karuñga jiska naam Ahmed hoga jo un par Imaan laaega raahyaab hoge jo un par Imaan na laaega mal’oon hai ye sunkar Salma رضي الله عنه Imaan le aaye aur muhajeer ne Islam se inkar kar diya is par Allah Ta’ala ne yeh Aayat naazil farma kar zaahir kar diya ki Jab
Hazrate Ibrahim عليه السلام ne khud is Rasoole Muazzam ke Mab’oos hone ki dua farmayi to jo unke deen se phire wo Hazrate Ibrahim عليه السلام ke deen se phira isme yahood wa nasaara wa mushrikine arab par ta’areez ( ishara ) hai jo apne aapko iftekharan Hazrat Ibrahim عليه السلام ki taraf mansub karte the jab unke deen se phir gaye to sharafat kaha rahi.
2⃣ Risalat wa Khullat ke Saath Rasool wa Khaleel Banaya.
3⃣ Jinke liye buland darje hai to jabh Hazrat Ibrahim عليه السلام karamat daarain ke Jame’a hai to unki tareeqat wa millat se phirne wala zaroor naadan wa ahmak hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Roze Ke Makruhaat ka Bayan # 442

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Rozadaar ko bila uzr kisi chiz ka chakhna ya chabana makhrooh hai. Chakhne ke liye uzr yeh hai ki maslan shohar ya aaqa bad mizaaj hai namak kam o besh hoga toh uski naraazgi ki baais hoga to iss wajah se chakhne mai harj nahee.
▶Chabane ke liye yeh uzr hai ki Itna chota baccha hai roti nahee kha sakta aur koi narm giza bhi nahi jo usse khilai jaye, na koi aur be roza aisa hai jo usse chaba kar dede to bacche ko khilaane ke liye roti wagaira chabana makhrooh nahee.
▶Chakhne se muraad yeh hai ki zabaan par rakh kar maza pehchaan le aur use thook de isme se halak me kuch na jaane paye nahi toh roza jaata rahega.

# Qanoon e Shari'at safah no. 209/210

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #442

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai, Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs sachhe dil se aur sahih aqeede ke saath ramzaan mein qayaam karey yaani taraweeh parhe to uske agle gunaah baksh diye jaate hai.

#Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

DIL ME SACHHAYI RAKHO
AYINE KI TARAH SAAF
DIL SE TARAWEEH PARHO
SAB GUNAAH HONGE MAAF
انشالله آمين

Maah e Ramzaan #442

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ paañch (5) waqt ki namaaz, jumma se Jumma ki namaaz, ramzaan se doosre ramzaan unke darmiyaan hone wale sageera gunaah ka kaffara hai jabh ki kabeera gunaahoñ se bacha jaaye.

#Muslim Shareef Jild 1 Safah 364

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 441

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. post #440.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 129

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Ek Rasool unhi mein se ki un par teri Aayate Tilawat farmaye aur unheiñ teri kitaab.
3⃣ Aur pukhta Ilm sikhaye.
4⃣ Aur unheiñ khoob suthra farma de beshak Tu hi hai Gaailb Hikmat wala.

▶ Tafseer
2⃣ Is Kitaab se Quraane paak aur iski taalim se iske haqaeek wa maani ka sikhna muraad hai.
3⃣ Hiqmat ke maana mein bahot aqwal hain Baaz ke nazdeeq hiqmat se fiqah muraad hai, Katada ka qaul hain ki Hiqmat Sunnat ka naam hai, Baaz kehte hai ki Hiqmat Ilme Ehkaam ko kehte hain, khulasa ye hai ki Hiqmat Ilme Asraar hai.
4⃣ Suthra karne ke yeh maana hain ki Louhe Nufoos wa arwah ko qudraat se paak karke hijab uthawe aur  Aaina e Iste’adaad ki jilaa farma kar unhe is kaabil kar de ki unmein Haqaeeq ki jalwagari ho sake.

fb.me/kanzul.imaan.group

Roze ke Makruhaat ka Bayan # 441

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jhoot, gibat, chugli, gaali dena, behudi baat kehna kisi ko taqleef dena yeh cheezein waise bhi najaiz o haraam hai,
Roze mein aur ziada haraam aur inki wajah se bhi roza makhrooh hota hai.
▶Koi chiz kharidi aur uska chakhna zaruri hai ki na chakhega toh nuqsaan hoga chakhne mein koi harz nahee.
Aurat ka bosa lena aur gale lagana aur badan chuna makhrooh hai jabki yeh darr na ho ki inzaal ho jayega ya jema mein mubtila ho jayega aur honth aur zabaan chusna toh roze mein mutlaqan makhrooh hai
▶Roze mai miswaak karna makhrooh nahee balki jaise aur dino mai sunnat hai waise hi roze mai bhi sunnat hai.

# Qanoon e Shariat Safah no. 209-210

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #441

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Jumma ke din ke behtareen saat (7) amaal

Jo shakhs jumma ke din inn saat (7) amaal ko karle uske har qadam par ek saal ke nafl rozey aur raat ko ibadat karne ka sawaab milega.

 Gusal karna.
 Saaf kapde pahenna aur khushboo lagana.
 Jumma ke liye jaldi jaana.
 Masjid ki taraf paidal jaana.
 Imaam ke kareeb yaani pehli saf mein baithna.
 Khutba khamoshi ke saath gaur se sunna.
 Khutba ke dauraan koi fuzool kaam ya behuda baat na karna.

#Tirmizi Shareef, Abu Dawood Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

HAI JUMMA KA DIN
ACHE AMAAL PAA LO
RAMZAAN KA  JUMMA
APNI NEKI BARHA LO

Maah e Ramzaan #441

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Shaafi e Mehshar ﷺ irshad farmate haiñ Allah ﷻ aur uske Farishte sehri karne wale par rehmat nazil farmate hai.

#Abu Dawood Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 440

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 129

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Rab hamare aur bhej in mein.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Hazrate Ibrahim wa Hazrate Ismail  ki zurriyat mein ye Dua Sayyade Ambiya ﷺ ke liye thi Yaani Kaaba Mu’azzama ki tamaer ki Azeem khidmat bajaa laane aur taubah wa istigfaar karne ke baad Hazrate Ibrahim wa Ismail ne yeh dua ki ke Yaa Rab Apne Mehboob Nabi e Aakhiruz-Zama ﷺ ko hamari nasl mein zaaahir farma aur ye sharaf humein inayat kar yeh dua qubool huwi aur un dono saahibo ki nasl mein Huzoor ﷺ ke siwa koi Nabi nahi huwa.
Aulade Hazrate Ibrahim mein baaki Ambiya Hazrate Is'haaq ki nasl mein se hai.
▶ Masla- Sayyade Aalam ﷺ ne Apna Meelad Shareef khood bayan farmaya Imame Bagawi ne ek Hadees riwayat ki ke Huzoor ﷺ ne farmaya Maiñ Allah Ta’ala ke nazdeek KhatamuNabiyyin likha huwa tha Ba-halañki Hazrate Aadam عليه السلام ka pootla ka khameer ho raha tha Maiñ tumhe Apne ibteda e haal ki khabar du Maiñ Dua E Ibrahim Hu, Basharate Isaa hu Apni Walida ki us khwab ki tabeer hu jo unhone Meri wiladat ke waqt dekhi aur unke liye Noore Sate’a Zaahir huwa jisse mulk e Shaam ke aiwaan wa kusoor unke liye raushan ho gaye, is Hadees mein Dua E Ibrahim se yahi muraad hain jo is Aayat mein mazkoor hain Allah Ta’ala ne dua qubool farmayi aur Aakhire zamana mein Huzoor Sayyade Ambiya Muhammed Mustafa ﷺ ko mab’oos farmaya AlHamdulillah Alaa Ehsanihi ( # Jumal wa # Khaazin )

〰〰 to be contd

fb.me/kanzul.imaan.group

Sehri aur Iftaar ka Bayan # 440

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Roze ke liye sehri karna baa barkat hai Sunnat hai beshumar fazilat hai magar yeh roza Sahih hone ki shart nahee! Agar kisiko Sehri karne ka mauka na mila to bagair sehri kiye roza rakh sakta hai.
▶Roza aur Iftaar mein uss jagah ka aitbaar hai jaha aadmi roza rakhte Aur  iftaar ke waqt maujood ho.
▶Agar koi shakhs arab mulk se roza rakh kar hindustaan aaya to usse hind ke waqt ke mutabik iftaar karna hoga aur jo shakhs hind se roza rakh kar arab mulk gaya to usse waha ke gurub ke baad iftaar karna hoga. uske liye ab hind ke gurub ka aitbaar nahee.

# Raddul Mohtaar Jild, 2 Safah no. 419

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #440

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jiss shakhs ko Allah Ta'ala ne maal diya aur usne uski Zakaat adaa ma ki to uske maal ko qayamat ke din ganje saap (snake) ki shakal mein badal diya jaaega.

Jiske sar par do (2) chitiya (ant) hogi woh saap uske galey mein haar bana kar daal diya jaaega phir woh saap uski baahein pakrega aur kahega ki maiñ tera maal hu maiñ tera khazana hu.

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

AYE MOMINO SAAP KO APNE
GALEY KA HAAR MAT BANAO.
APNI HI BARBAADI KO
AAGE MAT BULAAO.

Maah e Ramzaan #440

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla ~ Jiss tarah namaaz mein baat karne ki niyyat ki magar baat na ki to namaz nahi tooti, issi tarah roze mein roza todne ki niyyat se roza nahi tootega jabh tak roza todne wali cheez na karey.

#Bahar e Shari'at, Jild 5, Safah 969.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 439

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 128

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Rab hamare aur kar humeiñ tere Huzoor gardan rakhne wale.
2⃣ Aur hamari aulad mein se ek ummat teri farmabardar aur humein hamari ibadat ke qaeede bata aur hum par Apni Rehmat ke saath rujoo farma Beshak Tu hi hai bahot taubah qubool karne wala meherban.

▶ Tafseer
1⃣ Woh Hazraat, Allah Ta’ala ke muti’a wa mukhlis bande the phir bhi ye dua isliye hai ki ta’at wa ikhlaas mein aur zyada kamaal ki talab rakhte hai Zauqe ta’at sair nahi hota SubhanAllah "Fiqre hark as baqadre himmate U'uAst"
2⃣ Hazrate Ibrahim wa Ismail عليه السلام Maasom hai Aapki taraf se to yeh tawajo’a hai aur Allah waloñ ke liye taalim hai.
▶ Masla –  Ki yeh maqaam quboole dua ka hai aur yahan dua wa taubah Sunnate Ibrahimi hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Fatawa e Razviya Shareef # 439

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Sarkar Aala Hazrat رضي الله عنه farmate hai iftaar ki dua amuman qabl az iftar parhne ka riwaaj hai, magar yeh dua iftaar ke baad parhni chahiye.

# Fatawa Razviya Shareef, Jild 1, Safah no.13.

▶Iftar ke baad parhne se muraad khajoor kha kar ya pani pi kar yeh dua parhni chahiye. Iss dua ka tarjuma yeh hai.

"Aye Allah maine tere liye roza rakha aur tujh par imaan laaya aur tujh par bharosa kiya aur tere diye huwe rizq se iftaar kiya."

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #439

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Amr Ibne Shuaib رضي الله عنه apne walid se aur woh apne dada se riwayat karte hai ki 2 aurtein Huzoor ﷺ ki khidmat mein haazir huwi aur unke haathon mein soney (Gold) ke 2 kangan (Bangle) the.

Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya kya tum inki zakaat deti ho? Unhone arz kiya nahi.

Huzoor ﷺ ne irshad farmaya kya tum iss baat ko pasand karti ho ke Allah Ta'ala tumko aag ke 2 kangan pehnayega? Unhone arz kiya nahee.

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne irshad farmaya to phir unki zakaat adaa kiya karo.

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #439

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Amr Ibne Shuaib رضي الله عنه apne walid se aur woh apne dada se riwayat karte hai ki 2 aurtein Huzoor ﷺ ki khidmat mein haazir huwi aur unke haathon mein soney (Gold) ke 2 kangan (Bangle) the.

Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya kya tum inki zakaat deti ho? Unhone arz kiya nahi.

Huzoor ﷺ ne irshad farmaya kya tum iss baat ko pasand karti ho ke Allah Ta'ala tumko aag ke 2 kangan pehnayega? Unhone arz kiya nahee.

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne irshad farmaya to phir unki zakaat adaa kiya karo.

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

HAATHO MEIN APNE
AAG KE KANGAN MAT PEHNO
SONE PAR ZAKAAT NIKALO
MAA AUR BEHNO

Maah e Ramzaan #439

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Quraan e Majeed Furqan e Hameed mein sirf Maah e Ramzaan ka naam sarahatan aaya hai.

# Tafseer e Naimi, Jild 2, Safah 217.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 438

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 437
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 125 , 126 & 127

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur Humne taaqid farmayi Ibrahim aur Ismaeel ko ki mera ghar khoob suthra karo tawaaf walon aur aitikaaf walo aur Ruku wa sujood walon ke liye aur jabh arz ki Ibrahim ne ki Aye Rab mere is shehair ko Amaan wala karde aur iske rehne walo ko tarah tarah ke phaloñ se rozi de jo unme se Allah aur pichle deen par Imaan Laaye.
5⃣ Farmaya aur jo kaafir huwa thoda baratne ko use bhi dunga phir Azaabe dozakh ki taraf majboor karunga aur woh bahot buri jagah hai palatne ki aur jabh uthata tha Ibrahim us ghar ki neeve aur Ismail yeh kehte huwe ki Aye Rab hamare humse qubool farma beshak tu hi hai sunta jaanta.

▶ Tafseer
4⃣ Chunki Imamat ke baab mein irshad ho chuka tha isliye Hazrate Ibrahim عليه السلام ne is dua mein momineen ko khaas farmaya aur yahi Shaane Adab thi Allah Ta’ala ne karam kiya dua qubool farmayi aur irshad farmaya ki Rizq sab ko diya jayega Momeen ko bhi kaafir ko bhi lekin kaafir ka rizq thoda hai yani sirf duniyawi zindagi mein woh bahramand ho sakta hai.
5⃣ Pehli martaba Kaaba e Muazzama ki buniyaad Hazrate Aadam عليه السلام  ne rakhi aur Baad Toofane Nooh fir Ibrahim عليه السلام  ne usi buniyad par taamir farmayi ye taamire khaas Aapke Daste Mubarak se huwi iske liye patthar utha kar laane ki khidmat wa sa’adat Hazrate Ismail عليه السلام ko muyassar huwi dono hazraat ne us waqt yeh dua ki Yaa Rab hamari ye ta’at wa khidmat Qubool farma

fb.me/kanzul.imaan.group



Zakaat ka Bayan # 438

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Sawal: Kya Mushtahiq e zakaat ko cheque dene se uski zakaat adaa ho jayegi ya jabh cheque ko cash kara kar mushtahiq us rakam par qabza le le tabh adaa hogi?

▶ Jawaab: Cheque ke ta'alluk se tamaam tehqiqat ke baad ye baat wazeh huwi ke cheque sirf sanad-e-zar aur certificate hai. Uski haisiyat currency note jaisi nahi hai dono mein kayi tarah ka fark hai.
Lihaza cheque ka hukm currency note jaisa nahi hoga, jabh tak woh bank se wasool na kare adaa na huwi. cheque sirf hukm naama hai qabza nahi.
▶ Huzoor SadrushShariáh ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ farmate hai "kisi par rupiye aate hai faqeer se keh diya uss se wasool kar le aur niyyat zakaat ki kiya to uske qabza lene ke baad adaa huwi.

# Bahar e Shari'at Jild 5, Safah 24.

▶ issi tarah cheque ke liye bhi yahi hukm hoga ke maal par qabza ke baad zakaat adaa hogi.

Hadees e Mubaraka #438

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs imaan ke saath sawaab ki umeed se Roza rakhega to uske agle gunaah baksh diye jayege.

Aur jo shakhs imaan ke saath sawaab ki niyyat se Ramzaan ki raaton mein ibaadat karega to uske agle gunaah bakhs diye jayege.

Aur jo shakhs imaan ke saath sawaab haasil karne ki garaz se Shab e Qadr mein Ibadat karega uske agle gunaah baksh diye jayege."

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


WOH ROZA HI KYA JISME ACHHI NIYYAT NA RAHE
WOH IBAADAT HI KYA JO ALLAH ﷻ KO RAZI NA KARE
JAAGTE RAHO IMAAN KE SAATH PARHTE RAHO RAMZAAN KI HAR RAAT


Maah e Ramzaan #438

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ hamare aur ahle kitab ke darmiyan sehri khane ka fark hai.

#Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in



Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 437

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 125 , 126 & 127

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Yaad karo jabh Humne is ghar ko.
2⃣ Logon ke liye marja’a aur Amaan banaya.
3⃣ Aur Ibrahim ke khade hone ki jagah ko Namaz ka mukaam banaao.

▶ Tafseer
1⃣ Bait se kaaba shareef muraad hai aur isme tamam Haram shareef daakhil hai.
2⃣ Amaan banana se yeh muraad hai ki Haram e Kaaba mein qatl wa gaarat haraam hai ya yeh ki wahan shikar tak ko Amaan hai yahan tak ki Haram Shareef mein sher bhediye bhi shikar ka pichha nahi karte chhor kar laut jaate hai, ek qaul ye hai ki momin usme daakhil ho kar azaab se mamoon ho jaata hai Haram ko Haram isliye kaha jaata hain ki usme qatl zulm shikaar Haram wa mamnoo hain (# Ahmadi ) Agar koi mujrim bhi daakhil ho jaye to waha usse ta’aruz na kiya jayega ( # Madarik )
3⃣ Makaam e Ibrahim woh patthar hai jis par khade hokar Hazrate Ibrahim عليه السلام ne Kaaba Mu’azzama ki Bina ( buniyad ) farmayi aur usme Aapke Qadame Mubarak ka nishan tha usko Namaz ka makam banana ka Amoor istehbaab ke liye hai ek qaul yeh bhi hai ki us Namaz se tawaf ki 2 rakat muraad hai. ( # Ahmadi Waghairah )

〰 to be contd..

fb.me/kanzul.imaan.group

Zakaat ka Bayan # 437 - Zakaat kin logo ko di jaye

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Zakaat kin logo ko di jaye.

▶Apni aal (yaani maa-baap, dada-dadi, nana-nani wagaira jinki aulaad mein yeh hai) aur apni aulaad (yaani beta-beti, pota-poti, nawasa-nawasi wagaira) ko zakaat nahee de sakta. Yuñhi Sadqa e Fitr wa nazre sharai wa kaffara bhi inhe de nahee sakta, raha sadqa e nafl to de sakta hai balki behtar hai.
▶ Rishtedaaro mein jiska nafka uske zimme waajib hai usse zakaat de sakta hai jab ki nafka mein mahsoob na kare.
▶Aurat shohar ko aur shohar aurat ko zakaat nahee de sakta, albatta talaaq dene ke baad jab ki iddat poori ho chuki ho to baad iddat khatam hone ke de sakta hai.

# Qanoone e Shari'at safah no. 236/237

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #437

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate hai koi waalid ne apni aulaad ko husn-e-adab se zyada behtar koi tohfa nahee diya.

#Tirmizi Shareef

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


RAMAZAN KA MAHINA
MUBARAK HO
APNI AULAAD KO TOHFA DO
KAISA TOHFA DETE HAI?
PARHLO HUZOOR ﷺ KYA KEHTE HAI

Maah e Ramzaan #437

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ Ikhatthe ho kar khaao, alag alag na khaao, ki barakat jamaat ke saath hai, aur khade ho kar na khaao aur na piyo.

# Ibne Majah, Jild-4 Safah-21.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 436

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 124

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Jabh Ibrahim ko uske Rab ne kuch baatoñ se aazmaya.
2⃣ To Usne wahi poori kar dikhayi.
3⃣ Farmaya Maiñ tumhe logoñ ka peshwa banane wala hu Arz ki aur Meri Aulad se farmaya Mera Ahad Zaalimo ko nahiñ pahuchta.

▶ Tafseer
1⃣ Khudayi Aazmayish ye hai ki bande par koi pabandi laazim farma kar doosroñ par uske khare khote hone ka izhar kar de.
2⃣ Jo baatein Allah Ta’ala ne Hazrate Ibrahim عليه السلام par aazmayish ke liye waajib ki thi unme mufassirin ke chand qaul hai qatada ka qaul hai ki woh Manasike Hajj hai, Mujahid رضي الله عنه ne kaha isse wo dus (10) cheezein muraad hai jo agli aayat mein mazkoor hai, Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه ka ek qaul ye hai ki woh dus (10) cheezein ye hai Moocheiñ katarwana, Kulli karna, Naak mein safai ke liye paani istemaal karna, Miswak karna, Sar mein mang nikalna, Nakhun tarashwana, Bagal ke baal door karna , Moo e zere naaf ki safar, Khatna , Paani se istinja karna yeh sab cheezein Hazrate Ibrahim عليه السلام par waajib thi aur hum par Inme se baaz waajib hain Baaz sunnat.
3⃣ Masla- Yaani Aap ki aulaad mein jo zaalim (kaafir) hai wo Imamat ka mansab na payenge.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki kaafir musalmano ka peshawa nahi ho sakta aur musalmano ko uska itteba’a jayaz nahi.

fb.me/kanzul.imaan.group

Zakat ka Bayan # 436

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Koi shakhs nisaab ka malik hai magar uss par itna dein (karz) hai ki dein adaa karne ke baad nisaab nahee rehti toh zakaat waajib nahee chahe dein banda ka ho jaise karz, zare saman kisi chiz ka tawana. chahe khuda ka (jaise zakaat khairaat).
▶ Maslan koi shakhs sirf ek nisaab ka malik hai aur 2(do) saal guzar gaye ki zakat nahee di to sirf pehle saal ka zakaat waajib hai dusre saal ki nahee iss liye ki pehle saal ki zakaat toh uss par dein hai iske nikaalne ke baad nisaab baki nahi rehti lehaza dusre saal zakaat waajib nahee huwi.
▶ Jo maal haajat e asliya ke alawa ho usme zakaat waajib hai jab ki woh nisaab ke barabar ho.

# Qanoon e Shariat safah no. 222

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #436

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Shafi Ul Muznibeen Rehmat E Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jo maal barbaad hota hai woh Zakat na dene se barbaad hota hai aur farmaya Zakat de kar apne maaloñ ko mazboot kiloñ mein karlo aur apne beemaro ka ilaaj sadqe se karo aur bala nazil hone par dua aur tajjurato se istia'anat karo aur farmaya Allah Ta'ala ne chaar (4) cheezein farz ki hai aur jo inn mein se teen (3) adaa kare woh usse kuch kaam na dega jabh tak poori chaaro ko na baja laaye woh chaaro yeh hai.

1⃣ Namaz
2⃣ Zakat
3⃣ Roze
4⃣ Hajj

Aur farmaya jo Zakat na de uski namaz qabul nahi.

# Qanoon E Shariat, Safah No 220.

Note ~ Zakaat maalik e nisaab par farz hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


ZAKAAT KI AHMIYAT
AGAR AAP JAANTE
TOH ZAKAAT DENE MEIN
KABHI DEIR NA KARTE



Maah e Ramzaan #436

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla ~ Aurat haiz o nifas wali thi usne raat mein niyyat ki aur subhe sadiq se pehle haiz o nifas se paak ho gayi to roza sahi ho gaya.

#Bahar e Shari'at, Jild 5, Safah 969.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in



Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 435

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 122 & 123

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Aulade Yakoob yaad karo mera ehsaan jo Maiñe tum par kiya aur wo jo Maiñe us zamane ke sab logo par tumhe badhai di
Aur Daro us din se ki koi jaan doosre ka badla na hogi aur na usko kuch lekar chore aur na kaafir ko koi shifarish nafaa de
2⃣ aur na unki madad ho

▶ Tafseer
1⃣ Isme yahood ka radd hai jo kehte the hamare baap dada buzurg guzre hai Humeiñ shafa’at karke chhura lenge unhe mayoos kiya jaata hain ki shafa’at kaafir ke liye nahi.
2⃣ Hazrate Ibrahim عليه  السلام  ki wiladat Sarzameene Ahwaz me ba-maqame Soos huwi phir Aap ke walid Aapko Babil Mulk e Namrood mein le aaye yahood wa nasaara wa mushrikine arab sab Aap ke fazl wa sharaf ke mo’atarif aur Aapki nasl mein hone par fakhr karte hain Allah Ta’ala ne Aap ke wo haalat bayan farmaye jinse sab par Islam Qubool karna laazim ho jaata hai kyuki jo cheezeiñ Allah Ta’ala ne Aap par wajib ki wo Islam ke khasayis mein se hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Zakat ka Bayan # 435

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Mubah kar dene se zakat adaa na hogi maslan fakeer ko zakat ki niyyat se khaana khila diya to zakat  na hogi issliye ki yeh malik kar dena na huwa haa agar khaana de de ki chahe khaaye ya le jaaye to adaa ho gayi yuh hi zakat ki niyyat se kapda de diya to adaa ho gayi.
▶ Malik karne mein bhi yeh zaruri hai ki aise ko zakat do jo kabza karna jaanta ho yani aisa na ho jo fek de ya dhoka khaaye nahi to adaa na hogi jaise chote bacche ya pagal ko zakat dene se adaa na hogi jis bacche ko itni akl na ho toh usski taraf se usska baap jo fakeer ho woh kabza kare ya woh jiski nigraani mein hai woh kabza kare.

# Qanoon e shari'at Safah no. 220-221

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #435

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Saaib Ibne Yazeed رضي الله عنه riwayat farmate hai ke hum Sahaba e kiram Hazrat e Umar Farooq رضي الله عنه ke zamaane mein bees (20) rakaat taraweeh aur witr parhte the.

# Baihaqi Shareef.

Is Hadees Shareef ke baare mein Mirkaat Sharah Mishkat jild 2 safah 175 mein hai ki Imam Nawwi ne khulasa mein farmaya ki is riwayat ki isnaad sahih hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


USS RASTE PAR CHALO JISPAR CHALTE HAI HUMARE NABI  ﷺ SUNNAT KE MUTABIK PARHA KARO TARAWEEH

Maah e Ramzaan #435

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ sehri khaya karo kyuki sehri mein barkat hai.

#Bukhari Shareef, Jild 1, Safa 633, Hadees No. 1923.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 434

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

~ Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 121

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Jinhe Humne kitaab di hai wo jaisi chahiye uski tilawat karte hai wahi us par Imaan Rakhte hai aur jo iske munkir ho to wahi Ziya(n)kaar hai.

▶ Tafseer
▶ Shane Nuzool Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهما ne faramaya ye Aayat pehle safeena ke baab mein naazil huwi jo Jafar bin Abi Taalib ke saath haazir Baargahe Risalat huwe the unki tadaad 40 thi 32 Ahle Habash aur 9 Shaami raahib unme Buhairah Raahib bhi the maana ye hai ki dar hakeekat Tauret Shareef par Imaan lane wale wahi haiñ jo uski tilawat ka haq adaa karte hai aur baghair tahreef wa tabdeel parhte haiñ aur uske maana samajhte aur maante hai aur usme Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ki naat wa Sifat dekh kar Huzoor ﷺ par Imaan laaye haiñ aur jo Huzoor ﷺ ke munkir hote hai wo Tauret Shareef par Imaan nahi rakhte.

fb.me/kanzul.imaan.group

Zakaat ka Bayan # 434

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Moti aur jawahar par zakaat waajib nahee agarche hazaaro ke ho, Haan agar tijarat ki niyat se liye to zakaat waajib ho gayi.
▶ Jo shakhs nisaab ka malik hai agar darmiyan saal mein kuch aur maal barha to iss naye maal ka saal alag nahee baki, pehle maal ka khatam saal iske liye bhi khatme saal hai, agarche saal pura hone se ek hi minute pehle hasil hua ho.
▶ Saal bhar tak khairat karta raha iske baad niyyat ki Ke jo kuch diya hai woh zakaat hai toh iss tarah zakaat adaa nahee huwi.

#Qanoon e Shari'at Safah No. 223

Hadees e Mubaraka #434

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se marwi hai Aaqa e kainaat ﷺ irshad farmate hai, Jabh Ramzaan ke mahine ki pehli raat hoti hai to shaitaan aur sarkash jinn qaid kar liye jaate hai aur jahannam ke darwaze bandh kar diye jaate hai. Fir maah e ramzaan unmein se koi darwaza khola nahee jaata,

aur jannat ke darwaze khol diye jaate hai to unmein se koi darwaza band nahi kiya jaata. Aur pukarne wala pukarta hai ki aye bhalai ko chahne waalon mutawajjeh ho aur aye burayi ka irada rakhne wale buraai na kar.

aur Allah ﷻ bohat se logon ko jahannam se aazad karta hai aur har raat aisa hota hai.

# Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

PAA LO APNI AZADI
MITA LO APNI BARBADI
ALLAH KO YAAD KARO RAMAZAAN KI HAR RAAT
SUNLO HUMARE HUZOOR ﷺ
KI BAAT.

Maah e Ramzaan #434

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Sahal Ibne Saad رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ Jannat mein aañth (8) darwaze hai unme ek darwaze ka naam 'Raiyyaan' hai uss darwaze se wohi jaaeñge jo roze rakhte hai.

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 433

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 120

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur hargiz tumse yahood aur nasaara raazi na honge jabh tak tum unke deen ki pairweeh na karo.
2⃣ Tum farma do ki Allah hi ki hidayat, hidayat hai.
3⃣ Aur { Aye Sunne wale kase baashad (Sunne Wala Koi Bhi Ho )} aur tu unki khwahishoñ ka pairo huwa baad iske ki tujhe ilm Aa chuka to Allah se tera koi bachane wala na hoga aur na madadgaar.

▶ Tafseer
1⃣ Aur ye na mumkin hai kyuki wo baatil par hai.
2⃣ Wahi kaabile itteba’a hai aur uske siwa har ek raahe baatil wa jalaalat.
3⃣ Ye khitaab ummate Muhammadiya ko hai ki jabh tumne jaan liya ki Sayyad e Aalam ﷺ tumhare paas haq wa hidayat laaye to tum hargiz Kuffar ki khwahishon ka itteba’a na karna agar aisa kiya to tumhe koi azaabe Ilahi se bachane wala nahi.(#khazin )

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Zakaat ka Bayan # 433 - Zakaat kin logo ko di jaye

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Zakaat kin logo ko di jaye

▶ Aamil woh hai jise badshaah e islam ne zakaat wa ushr wasool karne ke liye mukarar kiya ho usse kaam ke lihaaz se itna diya jaye ki usko aur uske madadgaaro ko mutvissat taur par kafi ho magar itna na diya jaaye ki jo wasool kar laaya hai uske aadhe se zyada ho jaye.
▶ Riqab se muraad mukatab gulam ko dena ki iss maal e zakaat se badle kitaabat dekar apni gardan chudaye.
▶ Gaarim se muraad madyun hai yaani uss par itna dein (karz) ho ki usse nikaalne ke baad nisaab baki na rahe.

# Qanoon e Shariat Safah no.235



Hadees e Mubaraka #433

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Salman Farsi رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ shabaan  ke aakhiri din humse kithab farmaya. Aye Musalmaano! Tumhare pass badaai wala barkat wala mahina aaya. Woh mahina jiski ek raat Hazaar Mahino se afzal hai. Uske roze Allah Ta'ala ne farz kiye. Jo iss mahine mein neki ka kaam yaani nafl ibadat karey to aise hai jaise doosre mahino mein farz adaa kiya. Aur  jisne ek farz adaa kiya to aise hai jaise aur dino mein sattar (70) farz adaa kiya.  Yeh sabr ka mahina hai aur sabr ka sawab jannat hai aur iss mahine momino ki rozi barha di jaati hai.

Jo isme rozedar ko iftaar karaye uske gunaaho ke liye bakshish hai aur uski gardan jahannam se aazad kardi jaegi. Isme iftaar karane wale ko aisa hi sawab milega jaise ke roza rakhne wale ko. Humne arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ hum mein ka har shakhs woh cheez nahiñ paata jisse roza iftaar karaye. Huzoor ﷺ ne farmaya, 'Allah  ﷻ yeh sawaab usko bhi dega jo ek ghoont dudh ya ek khajoor ya ek ghoont pani se iftaar karaye, aur jisne rozedar ko peit bhar khana khilaya usko Allah ﷻ mere hauz se pilayega. Woh kabhi pyasa nahiñ hoga yaha tak ke jannat mein dakhil ho jaaega. Yeh woh mahina hai ki iska shuru wala hissa Rehmat hai aur iska beech wala hissa Bakshish hai aur iska aakhiri hissa jahannam se aazadi hai. Aur jo apne ghulam par iss mahine mein kaam lene mein kami karde to Allah Ta'ala usse baksh dega aur jahannam se azaad farmaega.

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


EK GHOOT PANI PILADO
YA EK KHAJOOR KHILADO
MAAH E RAMZAAN KI KHUBI KYA HAI
PARHKE DOOSRO KO BHI SIKHADO

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 432

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 119

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Beshak Humne tumhe haq ke saath bheja khush khabari deta aur dar sunata aur tum se dozakh waloñ ka sawal na hoga.

▶Tafseer
▶ Ki wo kyu Imaan na laaye is liye ki Aapne Apna Farz Tableeg poore taur par Adaa farma diya.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Zakaat ka Bayan # 432

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Zakaat kin logo ko di jaye

▶Zakaat se masarif 7 hai
Fakeer
Miskeen
Aamil
Riqab
Gaarim
Fee sabilillah
ibnuss sabeel

▶Fakeer woh aadmi hai jiske paas kuch ho, magar na itna ke nisaab ko pohuch jaaye ya nisaab ke barabar ho toh iski ijazat haajat asliya mein mustagrak ho.

▶Miskeen woh hai jiske paas kuch na ho yaha tak ki khaane aur badan chupaane ke liye iska mohtaaj hai logo se sawaal kare.

#Qanoon e Shariat, Safah no.235

Hadees e Mubaraka #432

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jabh Ramzaan ka mahina shuru hota hai to aasmaan ke darwaze khol diye jaate hai. Aur ek riwayat mein hai ki jannat ke darwaze khol diye jaate hai, aur jahannam ke darwaze bandh kar diye jaate hai aur shaitaan zanjeero mein jakad diye jaate hai.

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


MAAH E RAMZAAN
AA RAHA HAI
SAATH MEIN REHMAT
LAA RAHA HAI
SHAITAN ZANJEERO MEIN
QAID HO RAHA HAI
JAHANNAM KA DARWAZA
BHI BAND HO RAHA HAI

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 431

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 118

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jaahil bole.
2⃣ Allah Humse kyu nahi kalaam karta.
3⃣ Ya humeiñ koi nishaani mile.
4⃣ Inse Agloñ ne bhi aisi hi kahi inki si baat inke unke dil ek se hai.
5⃣ Beshak Humne nishaniya khol di yakeen waaloñ ke liye.

▶Tafseer
1⃣  Yaani Ahle Kitaab ya mushrikeen.
2⃣ Yaani be waasta khud kyu nahi farmata jaisa ki Malayika wa Ambiya se Kalaam farmata hai yeh unka kamale takabbur aur nihayat sarkashi thi unhone apne Aapko Ambiya wa Malayika ke barabar samjha Shaane Nuzool Rafe’a Bin Khuzaima ne Huzoor Aqdas ﷺ se kaha agar Aap Allah ke Rasool hai to Allah se farmaiye woh hum se kalaam kare hum khud sune is par yeh Aayat naazil huwi.
3⃣ Yeh un Aayat ka Ainadan Inkaar hai jo Allah Ta’ala ne ataa farmayi.
4⃣ Kori wa Nabinaai aur Kufr wa kasawat mein Isme Nabi e Kareem ﷺ ki taskeene khatir farmayi gayi ki Aap ﷺ unki sarkashi aur muaanidana inkar se ranjeeda na ho pichhle kuffar bhi Ambiya ke saath aisa hi karte the.
5⃣ Yaani Aayate Quraani wa Mojezaat Baahiraat  Insaaf wale ko Sayyade Aalam ﷺ ki Nabuwwat ka yakeena dilane ke liye kaafi hai magar jo taalibe yakeena na ho wo dalaeel se fayeda nahi utha sakta.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Zakaat ka Bayan # 431

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Zakaat waajib hone ke liye chand sharte.
 Musalmaan hona
 Baligh hona
 Aaqil hona
 Aazad hona
 Malike nisaab hona
 Poore taur par malik hona
 Nisaab ka dein se farig hona
 Nisaab ka haajat-e-asliya se farig hona
 Maal ka naami hona
🔟 Saal guzarna.

Kaafir par Zakaat waajib nahee agar koi Kaafir musalmaan huwa to usse yeh huqm na diya jayega ke ki kufr ke zamane ki Zakaat adaa karein.

# Na baligh par Zakaat waajib nahee.

# Poore taur par maal ka malik ho yaani uss par kabza ho toh Zakaat waajib hai warna Nahee.

# Qanoon E Shariat Page No 221.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 430

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 117

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Naya paida karne wala aasmano aur zameen ka.
2⃣ Aur jabh kisi baat ka hukm farmaye to usse yahi farmata hai ki ho jaa wo fauran ho jaati hai.

▶ Tafseer
1⃣ Jisne baghair kisi misale saabik ke Ashiya ko Adam se wajood ataa farmaya.
2⃣ Yaani Qaynaat uske iraada farmate hi wajood mein aajati hai.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Hadees e Mubaraka #431

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne Hazrat e Rabeeah bin Ka'ab رضي الله عنه se ek mauke par irshad farmaya, Maañgo unhone arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Maiñ Jannat mein Aapki rafaaqat chaahta hu, yeh sunkar RasoolAllah ﷺ irshad farmate hai kya iske alawa kuch aur nahi chaahiye Hazrat e Rabeeah رضي الله عنه ne arz kiya wahi mere liye kaafi hai.

RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya kasrat e sujood se tum meri madad karo.

#Muslim Shareef, Safah 193.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


MAAÑGENGE MAAÑGE JAAYEÑGE MUÑH MAAÑGI PAAYEÑGE
SARKAR ﷺ MEIN NA LAA HAI NA HAAJAT AGAR KI HAI

Zakaat ka Bayan # 430

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ussi chiz ka (Jiss maal ki zakaat na adaa ki gayi) qayamat ke din unke gale mai tauk daala jayega jinke saath bukhl kiya aur farmata hai jo log sona chaandi jama karte hai aur use Allah ﷻ ki raah mein kharch nahee karte unhe dardnaak azaab ki khushkhabari suna do...

... jis din jahannam ki aag mein tapaye jayenge aur inse unki peshaaniyan aur karwate aur peeth daagi jayengi aur unse kaha jayega yeh woh hai jo tumne apne nafs ke liye jama kiya tha to ab chakho jo jama karte the.

Masla :- Zakaat shariat mein isko kehte hai ki Allah ke liye maal ke ek hisse ka jo Shari'at ne muqarrar kiya hai uska musalmaan, faqeer ko malik bana de.

# Qanoon e Shariat Page no- 220

Hadees e Mubaraka #430.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ki bando ke aamaal har hafte do (2) martaba pesh kiye jaate haiñ. Peer aur jumeraat ko, har bande ki bakhshish hoti hai siwaaye us bande ke jo apne kisi musalmaan bhai se dushmani rakhta ho. Aur uske baare meiñ hukm diya jaata hai ki un dono ko chhorte raho (yaani farishte unke gunaaho ko na mitaye) yahañ tak ke woh apas meiñ dushmani ko khatam karde.

# Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


 KISI SE BHI DUSHMANI
MAT NIBHAAO
APNI BAKHSHISH KO
MAT THUKRAAO

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 429

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 115 & 116

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur purab paschim sab Allah hi ka hai tum jidhar muñh karo udhar wajadullah (Khuda Ki rehmat tumhari taraf mutawajjah) hai beshak Allah wus’at wala Ilm wala hai aur bole Khuda ne Apne liye Aulaad rakhi paaki hai usse.
2⃣ Balki ussi ki milk hai jo kuch aasmano aur zameen mein hai sab uske Huzoor gardan daale hai.

▶Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yahood ne Hazrate Uzair عليه السلام ko aur nasaara ne Hazrat Maseeh عليه السلام ko Khuda ka beta kaha mushrikine arab ne farishton ko Khuda ki betiya bataya unke radd mein yeh Aayat naazil huwi farmaya Pak hai isse ki uske aulaad ho uski taraf aulad ki nisbat karna usko Aib lagana aur be-adabi hai Hadees mein hai ki Allah Ta’ala farmata hai Ibne Aadam ne mujhe gaali di mere liye Aulad batayi aur biwi se paak hu.
2⃣ Aur mamlook (milqiyat) hona aulad hone ke manafi hai jabh tamam jahan uska mamlook hai to koi aulad kaise ho sakta hai.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at, Zakat ke Masael # 429

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Zakat adaa karne mein yeh zaroori hai ki jise de malik bana de ibahat kafi  nahi yaani mubah kar dena kafi nahi (Maslan nul (tap) lagwaya ki log pani piyenge aur samjhe ki zakat adaa ho gayi to aisa karne se zakat adaa na hogi kyuki yaha maal ka malik na banaya gaya) lihaza maale zakat masjid mein sarf karna ya usse mayyat ko kafan dena ya mayyat ka dein adaa karna, pul saraa , sikaya (pyau), sadak banva dena ya nahar aur kunwa khudva dena in af'al mein kharch karna ya kitab wagairah koi cheez kharid kar waqf kar dena, naa-kafi hai yaani iss tarah ke kaam karne se zakat adaa nahi hogi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #429

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ koi aisa momin nahi jiska duniya o aakhirat mein Maiñ Waali nahi agar tum chaahte ho to yeh Aayat padho ( Yeh Nabi ﷺ musalmaano ka unki jaan se zyada maalik hai. #Surah Ahzaab, Aayat no 6)

Aur jo momin faut hojaaye aur apne peeche maal chhor jaaye to uske kareebi rishtedar uske waaris hoñge aur jo momin qarza chhor jaaye woh mere pass aaye Maiñ uska Waali hu.

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


WAHI WAALI WAHI AAQA WAHI WAARIS WAHI MAULA
MAIÑ UNKE SADQE JAOOÑ AUR MERA KAUN WAALI HAI